لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Matam e akbar

Irfan Haider2018
ShiaNohaLyrics
(Haye haye Ali Akbar)..(4) HUSSAIN... HUSSAIN Lashaye Akbar jo laye khaymo me Phuphi ne seena o sar peet kar kiya nauha Kohraam mach gaya.. (Ya HUSSAIN )..(6) Haan.. (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (1) (ZAINAB yeh bain karti thi Akbar ki laashe par)..(2) Afsos tere............haye Afsos tere laashe par sehra sajaya hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (2) (Aankhein toh kholo aye mere kadiyal jawa'n pisar)..(2) Main jiteji..........haye Main jiteji mar jaungi laila ka nauha hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (3) (Andher hogayi hai yeh duniya tumhare baad )..(2) Laashe pe nauha .............haye Laashe pe nauhakhwan yu ZEHRA ka beta hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (4) (Ghar ka sukoon, aankho'n ki binayi le gaye)..(2) Ab mera kaam.........haye Ab mera kaam bas tere laashe pe rona hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (5) (Aye laal uth bhi jaao ab behno ke waaste)..(2) SUGHRA nahi toh.........haye SUGHRA nahi toh kya hua BALI SAKINA hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (6) (Yeh kehke SHEH ne maanga hai malboos purana )..(2) Akbar  ke baad ..........haye Akbar ke baad wese bhi bekaar jeena hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (7) (Akbar tumhare jaane se tanha hue HUSSAIN )..(2) Fizza yeh bain..........haye Fizza yeh bain karti hai SAJJAD rota hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (8) (Irfan AHLE BAIT pe kya kya guzar gayi)..(2) Mazhar ne ek.............haye Mazhar ne ek misre me ehwaal likha hai (khaimo'n me shor matam e Akbar ka hota hai)..(3) (Ya HUSSAIN  )..(8)