لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sajjad zara ahista

Irfan Haider2018
ShiaNohaLyrics
Haye haye Aijaz e Imamat se SAJJAD chale aaye KARBALA, KARBALA Aur Ganj e Shaheeda me begoro kafan laashe, SAJJAD ne dekhe SHABBIR  ke maqtal me, SAJJAD juhi pohonche Awaaz yeh aati thi, SHABBIR ke laashe se Aao aye beta, do hume pursa, in shaheedon ka Dafn karne mujhe tu aaya hai Dhyaan rakhna magar mere laal Main hu zakhmi badan, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan (SAJJAD zara ahista) ..(2) (1) (Aye khudawand e gham) ..(2) Tujhpe khud bhi masaeb ka saaya hai Tera ehsaan hai bekafan ko kafan dene aaya hai Mera tashna dahan, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista (2) (Tu akela hain aur) ..(2) Dafn karne ko laashein bahattar hai Khaaq par sabke tan hai magar sar sabhi ke sina par hain Aye sabhi khastatan, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista (3) (Dafn karna pisar) ..(2) Humshabihe PAYAMBAR ka tum lasha dhyaan rakhna magar, zakhmi seena hai us jaan e madar ka Ho na koi dukhan, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista (3) (Sabke lashe tujhe) ..(2) Mil hi jayenge maqtal me aye qaidi Dhundhna dasht me ek gathri me hai laash QASIM ki Hain woh IBN E HASAN, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista (4)(Lashe ABBAS ko) ..(2) Baad me uske marqad me le jana Dono baazu juda hain, unhe dhundhkar pehle le aana Woh hain saqqa e mann, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista (5) (Lene jao jo tum) ..(2) Neher se laashe AUN O MOHAMMAD ke Maa to royi nahi, inke laashe pe tum rona Shehzaade Dono hai gulbadan, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista (6) (Saari fauj e KHUDA) ..(2) Bekafan so rahi hai isi ban me Shauzab o Jaun o Hurr hai, Habib aur GHAZI ke bete hai Sab hai tashna dahan, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista (7) (Shaam e ghurbat bhi hain) ..(2) Yaad bazaar o zindaan hai tujhko Mazhar e ranj o gham, mere gham ka to Irfan hai tujhko Main hu zakhmi badan, pehnana kafan (SAJJAD zara ahista) ..(2) Main hu zakhmi badan SAJJAD zara ahista