لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye azakhana e hussain hai

Irfan Haider2018
ShiaNohaLyrics
(Aye azadaron suno) X (2) Aye naunihaalon suno (Aye pursadaron suno) X(2) HUSSAIN YA HUSSAIN X (3) HUSSAIN YA HUSSAIN X (3) Kuch log deen e haq ko bachane ke waaste Beghar hue kuch aise ke har ghar me aa gaye (Ghar azakhana ban gaya) x (2) 1) Ghar me ZEHRA ke jab qadam aaye Shahe Yasrab Shahe Umam aye Pursa lene ko agaye HAIDAR Unke baccho'n ke jab alam aye (Farsh majlis ka jab bichaya gaya) x (2) Dil ne be sakhta kiya nauha (Yeh Azakhana e HUSSAIN ) X (4) 2) Dil me shohrat hunar wafadari Zeenat e ishq ki hain taiyari Ahle matam hi bas yeh khwahish hain Khana e haq me ho azadari (Nazr e MAULA ka ehtemam bhi ho) x(2) Hamiyan e KHUDA kare nauha (Yeh azakhana e HUSSAIN hain)x(4) 3) Ek alam bawafa ka sajta hain Is alam par KHUDA ka saya hain Hoke be dast woh sakhi ab tak Sari duniya ki jholi bharta hain (Aur duniya ko yeh batata hain) x(2) Mujhse milna ho toh yahi ana (Yeh azakhana e HUSSAIN hain )x(4) 4) Khali aagosh wali maa behnen Woh jo aulaad ko tarasti hain Unko aulaad bhi ataa hogi Aake mannat agar yaha maane (Ek jhoola yaha hain Asghar ka )x(2) Woh ataa karke yeh bata dega (Yeh azakhana e HUSSAIN hain) x(4) 5) Shab ki tanhai me suno aksar Ek BIBI yaha hain nauhagar Apne beta ka pursa lene ko Khud Baqaiya se aayi hain maadar (Rone waalon se roke kehti hain)x(2) Isko aabaad hi sada rakhna (Yeh azakhana e HUSSAIN hain)x(4) 6) Qaid khane me pehli majlis ka Aao ehwaal suno ahl e aza Marsiya khwaan bibiyaa'n saari Zakera unme SANIYE ZAHRA (Matami qaidiyo'n ke halqe me )x(2) Nauha padte the roke ZAINUL IBA (Yeh azakhana e HUSSAIN hain )x(4) 7) Hain gham e KARBALA mere dil me Hain gham e berida mere dil me ZAKHM E ZAINUL IBA mere dil me Dard e MUSHKIL KUSHA mere dil me (Qabr e Shah e Huda mere dil me)x(2) Ab mere dil ko bhi kahe duniya (Yeh azakhana e HUSSAIN hain)x4 8) Baat mushkil hai yeh khuda ki qasam Kya likhe Mazhar Abidi ka kalaam Maa ki aagosh me suna nauha Maa ki aagosh me kiya matam (Aur Irfan jab alam dekhe)x2 Maine rote hue padha nauha (Yeh azakhana e HUSSAIN hain)x(4)