لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zarozaar mai roti rahi

Irfan Haider2018
ShiaNohaLyrics
Haye Sughra,(Haye haye  Sughra) x2 Haye Sughra, (Haye haye Sughra)x2 Jab qaasid e Sughra maqtal me pohoncha Maqtal me pohoncha... Usne dekha dasht me tanha Dasht me tanha... Baithe hain Sarwar (Hathon pe lekar lashaye Akbar)x2 Dil thamke phir MAULA (A.S.) ne, tehreer padhi Sughra ki Dukhiya ne kiya tha nauha Baba tum bhi na aaye, bhaiya Akbar na aaye Na aaya  mera Alamdaar. (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka.. 1)Jab sham dhale me baithi chokhat pe aakar Nazron ko bichakar royi yeh baat kehkar Tujhe aaj bhi raahein roti hain Hamsheer ki baahein roti hain Mere Akbar, mere ghamkhwar... (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka.. 2)Aur kaam mera ab kya hain aansoo bahana Yaad aaye mujhe har lamha Asghar ka jaana Jhoole ki hilakar doriyaa'n Deti hu use main loriyaa'n Mera jeena hua dushwaar..... (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka.. 3)Din raat tumhare gham me roti hain Sughra Aye baaba chacha se kehna marti hain Sughra Kyun duur main tumse rehti hu Main bhi toh Sakina (s.a.) jaisi hu Kya mujhse nahi hain pyaar...... (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka.. 4)Nazron me sabhi ke chehre rehte hain baba Kyun Aun o Mohammad mujhse roothe hain baba Mere  Qasim o Akbar aa jaye Sab mere baradar aa jaye Nahi jeene se phir inkaar..... (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka.. 5)Kuch roz ki main mehmaa'n hu duniya me baba Kya tumko gawara hain main mar jau tanha Kuch roz agar na aayenge Sughra ko lehad me paayenge Mere baba,mere Sardaar..... (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka.. 6)Amma se Phuphi ZAINAB (S.A.) se keh dena baba Tum Fateha padhne mere marqad pe aana Akbar bhi agar saath ayega Beemar ko chain aa jayega Saare kunbe ki matamadaar.... (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka.. 7)Jab meri lehad par pohonche Irfan o Mazhar Dono ne diya tha pursa yeh nauha padhkar Baba tum bhi na aaye, bhaiya Akbar na aaye Na aaya mera Alamdaar....... (Zarozaar main roti rahi) x3 Nauha tha yeh sughra ka..