لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kaash abbas tum wahan hote

Irfan Haider2019
ShiaNohaLyrics
Mere bhaiyya abbas.. (4) Zindaan se chhut kar aal e abaa jab chehlum karne karbobala pohche to lahad par ghazi ki zainab ne kiya tha ye nauha..(3) mere bhaiyya abbas.. mere bhaiyya abbas..(2) Shaam wale dikha ke jab chadar..(2) mere sajjad ko rulate the kaash abbas tum waha'n hote 1. Mai teri laadli sakina ko tera chehlum manane laa na saki khoon mein doobi baliya'n uski bhaiyya tujhko dikhane laa na saki haye bin baap ki sakina ko jab tamache la'ee lagate the kaash abbas tum waha'n hote.. 2. Paani bachhi ke saamne laate phir use khaak par girate the usko kehkar ghareeb ki beti dil sakina ka wo dukhate the khaich kar jab rasan sakina ko chalte naaqe se wo girate the kaash abbas tum waha'n hote.. 3. Mere zakhmo'n se khoon jaari tha aur lab par mere duhayi thi shaam walo ne meri aamad par shaam ki har gali sajayi thi jab ta'arruf haram ka hota tha naam lekar mujhe bulate the kaash abbas tum waha'n hote.. 4. Shaam wale khushi se kehte the badr o khaibar ka le liya badla aaj laye Ali ki beti ko majma e aam mein rasan basta ek baaghi ki hai behen qaidi bas ye kehkar mujhe rulate the kaash abbas tum waha'n hote.. 5. Mere mazloom bhai ke sar ki karke tauheen mujhko tadpaya saamne saikdo la'eeno ke haye sadaat ko rulaya tha amma Zehra ki yaad aati thi jab wo darbaar mein bulate the kaash abbas tum waha'n hote.. 6. Haaye unnees (19) manzilo ka safar har qadam zakhm khate rehte the mujhko chadar kahi'n jo mil jaati phir sitamgaar cheen lete the kya kahu dil pe kya guzarti thi jab sina par rida dikhate the kaash abbas tum waha'n hote.. 7. Mazhar e kibriya ki beti ke har masaeb pe jaan hai qurbaan ek misre mein hogaya pursa kya sunaye ye arif o irfan shaam wale dikhake jab chadar mere sajjad ko rulate the kaash abbas tum waha'n hote.. kaash abbas tum waha'n hote..(2)