لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ooncha rahe apna alam

Irfan Haider2019
ShiaNohaLyrics
Abbas, abbas Har jang mein lehrata raha haan ghazi ka nisha'n haan aisa alam, aisa hasham, aisa bharam dekha kahi'n haan abbas ke haatho'n mein ooncha tha alam ooncha rahega ooncha rahe apna alam..(4) 1. Pehle ye alam ja'far e tayyar ne paaya Ja'far se chala Haider e qarrar ne paaya shabbir se lashkar ke alamdaar ne paaya aur ham ne julooso mein yehi kehke uthaya ooncha rahe apna alam..(4) Abbas, abbas.. 2. Panja jo alam par hai wo ek dast e karam hai ek mashk e sakina hai mohabbat ka bharam hai yani ye chacha aur bhatiji ka alam hai isne hi sabaq humko wafao'n ka padhaya ooncha rahe apna alam..(4) Abbas, abbas.. 3. Kaala hai kabhi surkh kabhi sabz pharera hota hai ise dekhke momin ka sawera toofano ka rukh isne kayi baar hai phera ye kehke husaini ne ise chhat pe lagaya ooncha rahe apna alam..(4) Abbas, abbas.. 4. Jis simt nazar jaye isi ka to karam hai kya baat hai, kya rob hai, kya jaho hasham hai le aao agar aur koi aisa alam hai khud jisko kayi baar hai Zehra ne sajaya ooncha rahe apna alam..(4) 5. Jis qaum ne maana hai ise wo nahi marti taqdeer ise choom ke hai pal mein sawarti wo hind ki dharti ho ke ho sindh ki dharti har hindu musalmaan ne ye kehke uthaya ooncha rahe apna alam..(4) Abbas, abbas.. 6. Ashoor ki shab shah ne Zainab ko bulaya ghazi ko alam dekhe ye zainab ko bataya aye behna alamdaar ise humne banaya zainab ke uthe dast e dua boli khudaya ooncha rahe apna alam..(4) Abbas, abbas.. 7. Hai ehle azaa aur azakhano ki pehchan zainab ki dua aur ataa e shahe zeeshan har saal sajate hai alam mazhar o irfan is ishq ne hi zakir e shabbir banaya ooncha rahe apna alam..(4) Abbas, abbas..