لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)

Irfan Haider2020-21
ShiaNohaLyrics
Hussain Hussain Ya Fatema Ya Hussain Hussainio Apni Taqhleek Ka Maqsad Samjho Kaun Ho Tum Tum Ek Ghareeb Maa Ki Dua Ho, Tum Ek Bahan Ka Waada Ho, Tumhara Rehnuma Hussain Ibn Ali Aur Tumhari Manzil Hai Karbala Karbala - 2 Hal Hub Illal Hussain - 4 Aaj Bhi Shaam Se Aati Hai Ye Zainab Ki Sada Ay Azaadaro Ay Wafadaro Tum Salamat Raho Taa Qayamat Raho Mai Chahti Hu Ke Tum Hamesha Ye Farshe Majlis Bichaye Rakhna - 2 Nibhaya Maine Tha Ek Waada Tumhe Bhi Wada Hai Ek Nibhaana Bhulna Jaana Bhulna Jaana Ye Dunya Faani Hai Laga Hi Rehta Hai Aana Jaana Hussain Ka Gham Manane Walo - 2 Labon Pe Rakhna Yahi Sada Ya Fatema Ya Hussain - 3 1. Ye Kaale Kapde Alam Sabile Ya Taaziye Aur Labon Pe Har Dam Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Nishaane Haider Se Kam Nahi Hai Tumhare Sine Pe Daaghe Matam Bhulna Jaana Tumhari Saari Ibadaton Ki - 2 Zarur Denge Tumhe Jazaa Ya Fatema Ya Hussain - 3 2. Najaf Se Paidal Alam Uthakar Badhe Chalo Karbala Ki Janib Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Wafa Ka Qibla Bula Raha Hai Tumhe Bhi Shehre Wafa Ki Janib Bhulna Jaana Qadam Juhi Karbala Me Rakhna - 2 Ro Ro Ke Keh Dena Shukriya Ya Fatema Ya Hussain - 3 3. Ye Soz Khwani Salam Nauhe Tumhara Virsa Hai Pursadari Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Azal Se Karbobala Ke Tum Ho Azal Se Karbobala Tumhari Bhulna Jaana Baroze Mehshar Hi Dekh Lena - 2 Faza Me Gunjegi Ye Sada Ya Fatema Ya Hussain 4. Mere Labon Par Yahi Dua Hai Jahan Me Hojaye Tumse Raazi Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Tumhari Jitni Bhi Haajaten Hai Wo Poori Kar Denga Meri Ghazi Bhulna Jaana Ye Kehke Apni Muraad Mango - 2 Sakina Bibi Ka Waasta Ya Fatema Ya Hussain 5. Yahi Adaa To Zamane Bharke Yazidio Ko Jala Rahi Hai Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Dilon Pe Churiyan Chala Rahi Hai Sada Ye Sehwan Se Aarahi Hai Bhulna Jaana Yahi To Wo Zikr Hai Ke Jisne - 2 Mujhe Qalandar Bana Diya Ya Fatema Ya Hussain 6. Subha Se Apne Fidaiyon Ke Jo Banme Laashe Utha Raha Tha Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Janabe Zehra Ke Saamne Jo Gale Ko Apne Kata Raha Tha Bhulna Jaana Nabi Lipat Kar Ali Se Roye - 2 Ye Bain Kar Karke Barhaa Ya Fatema Ya Hussain 7. Salam Us Par Jo Qaid Me Bhi Hussain Ka Gham Mana Rahi Thi Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Aseer Hoke Jo Shamo Kufa Me Apna Wada Nibha Rahi Thi Bhulna Jaana Usi Bahan Ka Yeh Faisla Hai - 2 Rahenga Jaari Ye Silsila Ya Fatema Ya Hussain 8. Nigaahe Zehra Me Mohtaram Ho Kasam Khuda Ki Bahukme Haider Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ye Naukri Raas Aagayi Hai Tumhe Bhi Irfan Aur Akhtar Bhulna Jaana Hamara Daste Karam Hai Tum Par - 2 Laga Do Ye Narae Azaa Ya Fatema Ya Hussain