لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sultan e Karbala

Irfan Haider2020
ShiaNohaLyrics
Hussain.. Hussain.. Hussain.. Hussain.. Sabeel, rizq, tabarruk, niyaz ki soorat Hussain baat raha hai khuda ke bando ko Hussain... Hussain hussain Hussain Ya habibi, Ya Hussain..(2) Roohi lakal fida Hussain! Hussain! Sultan e Karbala Hussain! Hussain! Bunyaad e la ilaah Eyes will cry for you, time will pass and you remain In the heart of voice keeps calling at O Hussain Al hamd teri shaan mein aayi hai ya Hussain kabze mein tere saari khudayi hai ya Hussain Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima subhe dahum se hai awaaz e karbala maqrooz hai tera, har banda e khuda Hussain! Hussain! Sultan e Karbala Hussain! Hussain! Bunyaad e la ilaah Tune zamee'n kharidi jo akbar ke naam par jageer hai wo teri shehenshah e behrobar Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima ek samt tera darr, ek samt bawafa tune bana diye, do qible ek jagah Hussain! Hussain! Sultan e Karbala Hussain! Hussain! Bunyaad e la ilaah Har saal arba'een pe dekha hai ye samaa aake karodo log jhukate hai sar yaha'n Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima sab pursa daar hai, hum aur ambiyaa aate hai sab yaha'n dete hue sadaa Hussain! Hussain! Sultan e Karbala Hussain! Hussain! Bunyaad e la ilaah Teri sakhawato ki hai ye bhi to ek daleel khud pyaasa qatl hoke hume baksh di sabeel Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima pyaasa nahi yaha'n, za'er koi tera kya hai ye mojiza?, ya hai karam tera? Hussain! Hussain! Sultan e Karbala Hussain! Hussain! Bunyaad e la ilaah Aye khoon e Kibriya, dar dasht e karbala tu fat-ha paa gaya, jab hurr ne keh diya Hussain! Hussain! Sultan e Karbala Hussain! Hussain! Bunyaad e la ilaah Jiski rago mein aatish e badr o Hunain hai tere siwa wo kaun shahe mashreqayn hai Aye jaan e Mustafa, Farzand e Fatima Ashoor dekh kar, sabit ye hogaya dar asl hai tuhi, bunyaad e la ilaah Hussain! Hussain! Sultan e Karbala Hussain! Hussain! Bunyaad e la ilaah Aye shahe karbobala, ho tera matam sadaa bus yehi armaan hai, Mazhar o Irfan ka As salam aye ghareeb ul watan as salam..(2) Rukhsar jo lahu mein huwe tar, unhe salam jo bibiya thi ban mein khule sar, unhe salam naizo pe jo sajaye gaye sar, unhe salam barsaye jinpe logo ne patthar, unhe salam As salam aye ghareeb ul watan as salam..(3)