لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yaad e Abbas

Irfan Haider2020
ShiaNohaLyrics
Abbas Alamdaar...(6) Yaad e Abbas Barsare mulke shaam jab aayi rodiye Saadaat Ghum ki rudad hai ye... (2) Mazhar o Irfan e aza Pehli majlis jo hui shaam ke ek gharme bapa Haye... Marsiya saare aseeron ne padha wawaila Pehli majlis ki bani zakera Binte Zehra Bad az hamde Khuda Yu huwi mehwe buqa Ek hi roz me maqtal me mera ghar ujda Rukhsate Hussain ki Qasam Mai shaam nahi aati Chadar bhi nahi chinti Hum qaidi nahi hote Abbas agar hote...  (3) Haye... Bibiyo kaise batau wo tumhe ranj-o-alam Do moharram ko sare dashte bala aae the hum Band haftum se hue aab-o-giza hae sitam Phir qayamat ye huwi Hogae qatl sabhi Gunj uthi dashte bayaban me Halmin ki sada Rukhsate Hussain ki qasam Lashe the sabhi besar Akbar ko sada dekar Shabbir nahi rote Abbas agar hote...  (3) Haye... Jaake ek ret ke tile pe ye dekha manzar Khushk bhai ka gala kund laeen ka khanjar Tera zarbon se kiya mere akhi ko besar Phir sitam aur badhe Laashe pamaal hue Chaagaya shame gariban ka andhera ban me Rukhsate Hussain ki qasam Baithi thi jaha pyaasi Aulaad Payambar ki Wo Khaime nahi jalte Abbas agar hote...  (3) Haye... Algaraz 11 gyarah moharram ki saher aa pohchi Ek rassi me hui aale Payambar qaidi Mere Sajjad ko zanjeer bhi pehnai gai Be khate rote huwe Janibe shaam chale Hogaya tukde jigar dekha jo Bazare jafa Rukhsate Hussain ki qasam Ye dard nahi milte Maoon se juda unke Atfaal nahi hote Abbas agar hote...  (3) Haye... Bibiyaan nako pe naizo pe shahido ke sar Char janib the tamashaai haram nohagaar Aag barsai kisine to kisine patthar Ab suno aage safar Aagaya shireen ka ghar Pucha shireen ne ye mujhse ke kaha hai chadar Rukhsate Hussain ki qasam Maine ye kiya noha Humlog rasan basta Aise na safar karte Abbas agar hote...  (3) Haye... Ek din khaak pe baithe the asire zindaan Aurate mashale thame hue kuch aayi waha Hind bhi saath thi unsab ke basad aaho fuga Usne pehchana mujhe Ashq ankhon se gire Pucha jab hind ne ahwaal to maine ye kaha Rukhsate Hussain ki qasam Mai shaam nahi aati Chadar bhi nahi chinti Hum qaid nahi hote Abbas agar hote...  (3)