لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Amme baba yam kujaast

Irfan Haider2021
ShiaNohaLyrics
Sakina ki sadaa gunji amme janam amme jaan maine rukhsaro pe zalim se tamache khaye aag daaman mein lagi chin gaye dur bhi haaye aapko meri qasam hai ye bataye mujhko aise hota hai yateemo se sulook haye haye.. amme, amme babayam kujaast? amme babayam kujaast? dukhtar e shahe shahida ne tadapkar ye kaha chin gayi sar se rida, khaimo me kuch bhi na raha wawaila.. wawaila aise aalam me apne baba ko dhundhu mai kaha'n amme babayam kujaast?..(4) amme babayam kujaast?..(4) 1. Shiddate ghum se na marjau sare dasht e bala har taraf laashe hi laashe hai kaha jau bhala wawaila.. wawaila mere baba hai jaha'n mujhko bhi le jao waha'n amme babayam kujaast?..(8) 2. Wo jo soyi na kabhi baba ke seene ke siwa usko ek khaak ke bistar pe bhi sone na diya wawaila.. wawaila taziyano se jagate hai sitamgar yaha amme babayam kujaast?..(8) 3. Haaye baba ne bade naazo se paala hai mujhe aur yaha shimr ne durro se bhi maara hai mujhe wawaila.. wawaila apne baba ko dikhaungi ye zakhmo ke nishaa'n amme babayam kujaast?..(8) 4. Mujhse kyu rooth gaye baba thi kya meri khata kaash hojati mai asghar ki tarah unpe fida wawaila.. wawaila rodiye ehle haram sunke ye bachhi ka bayaa'n amme babayam kujaast?..(8) 5. Aayi jab gyara moharram ki sahar wa ghurbata qafila aale mohammad ka sue shaam chala wawaila.. wawaila ek shehzadi thi roro ke jo karti thi fughaa'n amme babayam kujaast?..(8) 6. Aable paao me the aur gale mein thi rasan kitni lachar thi pardes mein akbar ki bahan wawaila.. wawaila qaidkhane mein bhi rehti thi yuhi nauha kunaa amme babayam kujaast?..(8) 7. Haaye sajjad ne aye akhtar o irfan e azaa apni hamsheer ko dafnate hue di ye sadaa wawaila.. wawaila khoon kano se sakina ke abhi tak hai rawaa'n amme babayam kujaast?..(8)