لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Salamat rahe ye azadari

Irfan Haider2021
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain... Hussain... Hussain.. Hussain Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain Maulana Hussaina Maulana Hussaina Maulana Hussaina Sadqa.. Sadqa Ali Akbar ka ataa kijiye maula Sadqa.. Sadqa Ali Akbar ka.. Hai khushnaseeb.. Hai khushnaseeb tere azadar ya hussain Ya hussain, Ya hussain Rehte hai tere ishq mein sarshar ya hussain Ya hussain, Ya hussain Dast e dua baland hai sarkar ya hussain Hai do jaha'n ke malik o mukhtar ya hussain Farsh e hussainiyat ke ujalo ki khayr ho Maula.. Maula tumhare chahne walo ki khayr ho Aye badshah e karbala qubool kijiye dua Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2) 1. Ishq tera sab se juda, zinda rahe naam tera Aba abdillah ya.. Aba abdillah ya.. Aba abdillah Hai kareem e karbala hussain.. Haan.. Tera ye ghum, hoga na kam aaj bhi dilo pe tera raaj hai tu hai sakhi ibn e sakhi hurr ko bakhsh na tera mizaaj hai aye badshah e karbala.. qubool kijiye dua Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2) 2. Wird e zaba'n hai ye sukhan karbobala mera watan Aba abdillah ya.. Aba abdillah ya.. Aba abdillah Zindabad arz e karbala Haan.. Tujhsa haseen koi nahi noori qafele rawa dawa'n rahe sue haram jaaye jo hum sayyeda ke zere sayebaa'n rahe aye badshah e karbala.. qubool kijiye dua Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2) 3. Bint e wali Ibn e Ali, Ya'ni hussain ibn e Ali Aba abdillah ya.. Aba abdillah ya.. Aba abdillah Rabbi zidna hubba lil hussain Haan.. nas aluhu, nazkuru kum marhaba hussain, marhaba hussain Salle alaa, salle alaa tujhpe sad hazaar martaba hussain aye badshah e karbala.. qubool kijiye dua hussain hussain jaan hussain hussain jaan yabn az zahra hussain hussain hussain jaan hussain ya hussain, hussain hussain ya hussain, hussain hussain ya hussain, ya hussain ya hussain Hussainiyo... hussainiyo meri awaaz se awaaz milakar ye kaho Shah ast hussain..(2) Badshah ast hussain..(2) Dee'n ast hussain Dee'n pana ast hussain sar daad na daad dast e dar dast e yazeed haqqaq e bina e la ilah ast hussain hussain ya hussain, hussain hussain ya hussain, hussain hussain ya hussain, ya hussain ya hussain 4. Haan.. Bhoole nahi aaj bhi hum, dosh e nabi tere qadam Aba abdillah ya.. Aba abdillah ya.. Aba abdillah Dil ye tera ghar hai ya hussain Haan.. Tujhpe fida arz o samaa tu hi jism o jaan e kaynaat hai shah e umam, teri qasam mehwar e hayat teri zaat hai aye badshah e karbala.. qubool kijiye dua Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2) Hussain walo.. Aao, Aao ek ahad kare Aao ek ahad kare..(2) apne maula se wafadar rahenge wallah misle hurr sahib e qirdar rahenge wallah kuch bhi hojaene azadar rahenge wallah duniya soti rahe bedaar rahenge wallah matam e shah ki tash'heer nahi chodenge daman e hazrat e shabbeer nahi chodenge tumse waada ye raha, aye ghareeb e zahra jis tarha tumne hume yaad rakha hum bhi tumko nahi bhulenge sadaa hussain ya hussain, hussain hussain ya hussain, hussain hussain ya hussain, ya hussain ya hussain 5. Haan.. Jisne tera naam liya, tune use thaam liya Aba abdillah ya.. Aba abdillah ya.. Aba abdillah Ya man ismuhu dawaa hussain haan.. Ehle azaa ki hai dua jo mareez hai unhe mile shifa lauhe dilam par hai raqam jisko tu mila use khuda mila aye badshah e karbala.. qubool kijiye dua Salamat rahe ye azadari, salamat rahe ye azadar..(2) Maula maula, maula maula Maula sunle ye dua Maula sunle ye dua..(3) Yaa Hussain.. Yaa Hussain Maula... Mere maula tujhe khoon e ali asghar ki qasam akbar o qasim o abbas e dilawar ki qasam shaam ki raho mein zainab ke khule sar ki qasam har tamache pe jo royi usi dukhtar ki qasam ilteja karte hai ye, karo irfan e azaa matam e hazrat e shabbeer kabhi na ho qaza Ya hussain