لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zakhmi hai bohot akbar

Irfan Haider2021
ShiaNohaLyrics
Haye Ali akbar..(2) Haye Ali akbar..(2) Ek shor hai... Ek taraf zaeefi hai.. Ek taraf jawani hai.. Haye, Ek baap ne bete ki ab laash uthani hai Maula.. Maula.. Maula.. Maula, Maula Maula, Maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula 1. Haye, Zakhmi hai bohot gesuo wala na uthega tanha ali akbar ka janaza na uthega Abbas ko dariya se bula lijiye maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula 2. Haye, Akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai yaa shah e zama'n aap se bas arz yahi hai Seene se nigaho ko hata lijiye maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula 3. Ghar mein to jawa'n laash ko le jana padega ek aur ali aap ki imdaad karega sajjad jo ghash mein hai, jaga lijiye maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula 4. Haye, Sar peet-ti khaime se nikal aayengi woh bhi marta ise dekhengi to mar jaegi wo bhi is zakhm ko zainab se chupa lijiye maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula 5. Haye, Wazni hai ye laasha dare khaibar se zyaada quwat yaha'n darkaar hai, haider se zyaada Ya Zahra kahe aur, utha lijiye maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula 6. Haye, Beta ye hasee'n aapka, zahra ka gule tarr hota hai juda aapse, humshakl e payaambar ek baar kaleje se, laga lijiye maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula 7. Haye, Irfan o raza hai yahi, is dil ki tamanna mimbar pe haram ke padhe, akbar ka ye nauha roze pe hume firse, bula lijiye maula Zakhmi hai bohot akbar Maula, Maula