لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Matam E Shabeer

Irfan Haider2022
ShiaNohaLyrics
Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain Matam E Shabbir, Matam E Shabbir Ye Matam E Shabbir Azadar Kare Ge Matam E Shabbir Azadar Karen Ge 1) Dill Mein Basa Hai Ishq E Hussaini Ishq Ka Yun Izhar Karain Ge Ye Matam E Shabbir, Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Ge Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain 2) Sheh Ki Aza Pe In Ka Pehra Ye Hain Dil E Zehra Ka Yaqeen In Ka Alam Hai Sab Se Aage In Se Aage Koi Nahi Halqa E Matam Ki Salaari Ghazi Alam Bardar Karen Ge Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Ge Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain 3) Qama Zani Zanjeer Zani Se Apna Khoon Bahate Hain Matamiyo'n Ke Khoon Ke Qatre Aik Diya Ban Jate Hain Apne Lahu Se Yun Hi Ujale Shah Ke Pursadar Karen Ge Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Gy Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain 4) Dast E Ali Pe Baiyat Ki Hai Denge Gawahi Arsh O Zameen Hai Mera Rehbar Mola Haider Mera Wali Or Koi Nahi Ghair Ki Baiyat Se Har Lamha Aaj Bhi Hum Inkar Karen Ge Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Ge Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain 5) Wo Jo Ghatata Hai Mimbar Pe Aal E Nabi Ki Azmat Ko Bhool Gaya Hai Wo Kufe Mein Lashkar E Zulm Ki Halat Ko Dekhna Ik Din Tera Muqassir Hashar Wahi Mukhtar Karen Ge Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Ge Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain 6) Ye Sare Noha Khuwan E Hussaini In Ko Chuna Hai Zehra Ne Ye Sare Zakir Sare Sana Khuwan Parhte Hain Izn E Mola Se Tum Jo Karo Ge In Ki Izzat Mola Bhi Tum Se Pyar Karen Ge Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Ge Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain 7) Mojza Hai Yeh Ishq E Ali Ka Karta Hai Yeh Naslon Mein Safar Is Mein Koi Do Raaye Nahi Hai Baap Ke Jaisa Ho Ga Pisar Matamiyo'n Ki Aulado'n Par Apna Karam Sarkar Karen Ge Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Ge Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain 8) Un Ki Raza Hoti Hai Marzi Milta Hai Tab Irfan E Aza Sahib E Alam Ki Janib Se Hone To Do Ailan E Aza Sibt E Nabi Ke Soag Mein Matam Ghar Ke Dar O Deewar Karen Ge Ye Matam E Shabbir Matam E Shabbir Azadar Karen Ge Hussain Ya Hussain Mola Hussain Ya Hussain