لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aaiye Maula

Irfan Haider2023
ShiaNohaLyrics
Ya Maulana Ya Sahib az zaman Al ghaus Al ghaus Al ghaus Adrikni Ya Sahib az zaman.. Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula Aapke hai saath humko karbala jana aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula 1. Sunnat e sajjad aur zainab adaa karte hue jayenge paidal najaf se karbala chalte hue bus yehi armaan e dil hai har hussaini ka aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula 2. Sar khule jisko phiraya sham ke bazar mein haye wo jisko bulaya berida darbar mein han usi zainab ka aakar lijiye pursa aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula 3. Intezar ab bhi wo karti hai ke akbar aayenge aur mujhe bhi saath apne karbala le jaenge khatm ho ab intezar e fatima sughra aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula 4. Aapko us cheh mahine ke sipahi ki qasam muskara kar jisne khaya halq par teere sitam chahiye phir deen ko besheer ka sadqa aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula Maula.. Aa bhi ja parda e ghaibat se zamane ke imam tujhse mimbar pe tere jadd ki kahani sunlein hum azadaro ki bus akhri hasrat hai yehi nauha zahra ka bus ek teri zabani sun lein 5. Ghar jalaya, darr giraya, pasliya'n zakhmi huwi hogaye mohsin shaheed aur ghum zada bibi huwi dushman e Zahra se aakar lijiye badla aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula 6. Aapko us char sala sayyeda ka wasta jiske kaano se chine gauhar lahu behta raha kam na hoga aapke bin ghum sakina ka aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula 7. Aaj bhi hai qabr e Zahra dhoop mein tooti hui hai dua Zeeshan o Irfan e azaa lab par yehi kijiye tameer aakar roza e Zahra aaiye maula Wasta hai sham wali shahzadi ka aaiye maula.. aaiye maula