لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai sakina hu mujhe na maro

Irfan Haider2023
ShiaNohaLyrics
Haaye.. Betiyo waalo suno.. Ek shehenshah ki beti ka safar har tamache pe jo kehti thi yehi ro ro kar Baba... Baba... Baba... Baba.. Jaan, baba ki wo shehzadi, ghazi ki bhatiji Haye, pardes me bichdi baba se wo bacchi Karbala se jo chali sham talak roti hui haath galo pe rakhe jab bhi jaha'n se guzri jisne chaha use mara, wo yehi kehti rahi Main.. Main sakina hu mujhe na maro Main.. choti zahra hu mujhe na maro Haye sakina, haye sakina, haye sakina Baad baba ke jab sham e ghariba aayi khaimo mein qayamat laayi haaye, tumne cheeni meri baliya'n khoo'n hai kano se ab bhi rawa'n aur kurta bhi jala mera Cheen li sar se rida qaidi banaya tumne phir gala bandh ke panjo pe chalaya tumne kabhi chalte hue naaqe se giraya tumne Main.. ab yatima hu mujhe na maro Main.. choti zarha hu mujhe na maro.. Main.. Main sakina hu mujhe na maro Main.. choti zahra hu mujhe na maro Haye sakina, haye sakina, haye sakina Mere ammu ko yeh manzar na dikhao zalimo gir jaega sar naize se haaye, dekho zakhmi hai chehra mera raah mein itna maara gaya kuch to ehsaas karo mera sare abbase ke yun aage na lao mujhko khaich kar baal tamache na lagao mujhko kaun hai kis se kahu aao bachao mujhko Main.. besahara hu mujhe na maro Main.. choti zarha hu mujhe na maro.. Main.. Main sakina hu mujhe na maro Main.. choti zahra hu mujhe na maro Haye sakina, haye sakina, haye sakina Kamsini mein bhi nazar aati hu dadi jaisi ghum itne sahe Mainne haaye, dekho girti sambhalti hu Main ab sahare se chalti hu Main kitna mushkil hai safar mera Char(4) barso mein hi ghurbat ka ajab aalam hai mere baalo'n mein safedi hai kamar kham hai saans leti hu to lagta hai labo'n par dam hai Main.. ab za'eefa hu mujhe na maro Main.. choti zarha hu mujhe na maro.. Main.. Main sakina hu mujhe na maro Main.. choti zahra hu mujhe na maro Haye sakina, haye sakina, haye sakina Qaid khane mein jab aayi to yeh manzar dekha har samt andhera tha haaye, phir sakina ne rokar kaha haaye dum mera ghutne laga mujhko le jao mere baba Phir kaha shimr ye zindaan jise kehte hai kya meri umr ke bachhe bhi yaha'n rehte hai yaad baba ki jab aaye to sitam sehte hai Main.. ek dukhiya hu mujhe na maro Main.. choti zarha hu mujhe na maro.. Main.. Main sakina hu mujhe na maro Main.. choti zahra hu mujhe na maro Haye sakina, haye sakina, haye sakina Haaye.. Ek din aisa bhi aaya dare zindaan khula saamne beti ke jab baap ka sar laaya gaya zakhmi chehre pe sakina ke gire jab aa'nsu shabbir ne aankhein kholi haaye, muh pe beti ne jab muh rakha baap ke sar se aayi sadaa tujhpe qurbaan tera baba Kaisi zeeshan aur irfan e azaa ghurbat thi beti khamosh hui sunke sadaa baba ki lene aaya hu tumhe ab na kahogi bibi Main.. Main sakina hu mujhe na maro Main.. choti zarha hu mujhe na maro.. Main.. Main sakina hu mujhe na maro Main.. choti zahra hu mujhe na maro Haye sakina, haye sakina, haye sakina Haye sakina....