لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye Asr e ashoor hai

Irfan Haider2024
ShiaNohaLyrics
Hussain Ya Hussain.. Hussain Ya Hussain.. Hussain Ya Hussain.. Maare gaye sab ansar e hussaini faraat behti hai.. balaa ki garmi hai.. hai mutma'in teen din ka pyasa khayam e sadaat se musalsal sadaa ye aati hai.. Hussain Ya Hussain.. Hussain Ya Hussain.. Hai karbala mein.. Hussain tanha khuda khair kare.. khuda khair kare Hai karbala mein Hussain tanha Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai 1. Takte hai sue asmaa'n jaari hai kuch wird e zabaa'n chehre pe Asghar ka lahu ab mar chuke shah e zamaa'n hai dhoop sar par, nahi hai saaya hai dhoop sar par, nahi hai saaya Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai 2. Abbas ke baazu kate Qasim ke tukde hogaye Akbar ka seena chhid gaya Aun o Mohammad na rahe kise pukare.. ghareeb e zehra kise pukare ghareeb e zehra Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai 3.Teero tabar ke waar se maara kabhi talwar se haye qayamat hogayi jab woh gira rahwar se na zeen par, na zameen par thaL nabi ka shehzada.. na zeen par, na zameen par tha Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai 4. Laashe uthakar thak chhuka laakho ne hai ghera hua hai khoon ke pyaase sabhi aakar bacha lo Fatima lahu mein tarr hai tumhara beta lahu mein tarr hai tumhara beta Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai 5. Jab shimr ka khanjar chala kat kar gira sukha gala tha bhai aur humsheer mein sattar qadam ka fasla na jane Zainab ne kaise dekha na jane Zainab ne kaise dekha Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai 6. Yeh arsh se aayi sadaa raazi hu Mai aa laut aa talwar rakhkar nyaam mein palte jo shahe karbala Ali ke bete ko sab ne maara Ali ke bete ko sab ne maara Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai 7. Zeeshan o Irfan e azaa royi zameen e karbala jab shimr sar shabbir ka khaimo ki janib le chala tadap raha tha zamee'n pe laasha tadap raha tha zamee'n pe laasha Yeh asr e ashoor hai Yeh asr e ashoor hai