لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Akbar ghar aaja

Irfan Haider2025
ShiaNohaLyrics
Andheray ghar mein Sughra (s.a) diye jalati hai Jab dil ghabrata hai, jab yaad satati hai Beemar behn (s.a) tujko ro ro ke bulati hai Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila Yaad mein teri ro ro kar mar jaayegi Sughra (s.a) Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila Tu door hai mujh ko yeh gham hai Baba (a.s) ki tujhe qasam hai Main takti rahi tera raasta Madine se tu jab gaya Karbala Karbala... Karbala... Haaye Karbala Mujh ko bhi le chal, poora kar de waada Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila Ab katt'tay nahi hain din aur raat Main kaise jiyun tere bin Yahan aa gayi mujhe maut agar Mere bhai (a.s) aana meri qabr par Qabr par... Qabr par... Haaye Qabr par Nana (s.a.w) ki jaa kar karti hoon roz duaa Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila Aawaaz mein teri jeetay ji Main phir se azaan sun loon Tujhe dekhna hai mehrab mein Tu ek baar aa ja mere khwab mein Khwab mein... Khwab mein... Haaye Khwab mein Main ne dekha hai zakhmi tera seena Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila Akbar (a.s) yeh tamanna hai meri Main shaadi rachaaoon teri Behn bhai hum dobara milen Badhani hain bhaiya mujhe mannatein Mannatein... Mannatein... Haaye Mannatein Maanein hain main ne, dekhoon tera sehra Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila Jab chaand Muharram ka dekha Dil mera tadap ke bola Khuda se yeh hi duaa main ne ki Badhade mere bhai ki zindagi Zindagi... Zindagi... Haaye Zindagi Meri bhi tujh ko lag jaaye mere bhaiya Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila Sughra (s.a) ne khat mein Zeeshan aur Irfan-e-Aza yeh likha Sar-e-Karbala yeh khat khol kar Hussain (a.s) aa gaye ek jawaan laash par Laash par... Laash par... Haaye Laash par Aakar Shah (a.s) bole: Paighaam hai Sughra (s.a) ka, haaye Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila