لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Ali Madad

Irfan Haider2025
ShiaNohaLyrics
Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s) Haider (a.s), Ali Maula (a.s), Ali Maula (a.s), Haider (a.s) Alhamdulillahillazi ja'alana minal mutamassikeena bi wilayate Ameeril Momineen Ali ibne Abi Talib (a.s) Ali Haider (a.s), Haider (a.s) Ali Maula (a.s), Haider (a.s), Ali Maula (a.s), Haider (a.s), Ali Maula (a.s), Haider (a.s) Ali ibne Abi Talib (a.s), Ghalib 'ala kulli ghalib Agha janam, Agha janam, Agha janam – Ya Ali (a.s) Ishq-e-Ali (a.s) Rehmatullah (Ali a.s, Ali a.s), Bughz-e-Ali (a.s) La'natullah Haan main madhosh hoon, main jaam-e-wilayat pee kar (Ya Ali a.s) Baitha hoon dar-e-ishq pe misle Qanbar (a.s) Mat chhedo mujhe, main sag-e-Haider (a.s) hoon, mawali hoon Abbas (a.s) ke Baba (a.s) ka main aashiq hoon, jalaali hoon Haan log deewana-o-mastana samajhte hain mujhe Aur main Hazrat-e-Behlool ki danai hoon Mera qibla hai Najaf, aur manzil hai Ali (a.s) Jo dhadakta hai mere seene mein, woh dil hai Ali (a.s) Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s) Mujh ko pehchaan le duniya Mujh ko pehchaan le duniya, main Ali (a.s) wala hoon Jod kar haath mein karta hoon salaam aur kehta hoon Ya Ali Madad – Haider (a.s), Ya Ali Madad – Haider (a.s) Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad Ya Ali (a.s) mujh ko tere ishq-e-muqaddas ki qasam (Ya Ali a.s) Tu ne har daur mein rakha hai malangon ka bharam Lal Shahbaz Qalandar (r.a) bhi yeh kehte hain: Haideri-am, Qalandar-am, Mastam! Bakhuda aaj bhi Sehwan se yeh aati hai sada Aasmanon mein yeh kehte hue main urta hoon Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad Ouj lagta hai mujhe daar pe aana mera Ya Ali (a.s), aap ki na’alain thikaana mera Jo bhi munkir hai, use maut nazar aata hai Naara-e-Haider-e-Karrar (a.s) lagana mera (Naara-e-Haidari… Ya Ali a.s!) Muskura kar yeh sar-e-daar kaha Maisam ne Wird yeh karte hue main bhi yahan tak pohncha hoon Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad Saari duniya ne yeh ilzaam lagaya mujh par Main ne iqraar kiya: Main hoon Ali (a.s) ka naukar Dost, ahbab halaali bhi hoon, maulaai bhi Baith kar shaam-o-sehar karte hain Haider, Haider (a.s) Bas wohi shakhs mujhe apna nazar aata hai Jis ke paakeeza labon se main yeh jumla sunta hoon Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad Kaash din aisa bhi aaye ke Ali (a.s) mujh se kahein: Aa ke mimbar pe meri jang sunao mujh ko Kaisa lagta hoon main jab mujh pe jalaal aata hai Ran mein jab Hazrat-e-Imran ka laal (a.s) aata hai Un ke qadmon se lipat kar yeh kahoonga Maula (a.s): Jang ladhna koi seekhe to Ali (a.s) se seekhe Jis ke chehre se chhalakte hon ilahi tewar Aur lehje se dehal jaayein lashkar ke jigar Tegh haathon mein jo aa jaaye, kahe jinn-o-bashar: "Al-Amaan, Sher-e-Khuda (a.s), Fatah-e-Khaibar (a.s), Haider (a.s)!" Tera jumla meri Sarkar nahi rok saka Aaj tak koi tera waar nahi rok saka Ali Waliullah – Ali Karam Allah Ali Asadullah – Ali Wajhullah Ali Aynullah – Ali Janbullah Ali Baabullah – Ali Izzatullah Sher-e-jari tu hai, nafs-e-Nabi (s.a.w) tu hai Khaibar mein utri jo Naad-e-Ali (a.s) tu hai Jab bhi koi mushkil aayi to Maulaji (a.s) main ne kaha: Ya Ali Madad! Aag se tu ne hi Ibraheem (a.s) bachaya Aur Hazrat-e-Yaqub (a.s) ko Yusuf (a.s) se milaya Tu sab ki madad karta raha jis ne pukara – haan Ya Ali Madad Haan Akhtar o Irfan-e-Aza Naad-e-Ali par Khaas karam hai yeh tera, Saqi-e-Kausar (a.s) Aate hain majlis mein yeh jab barsar-e-mimbar Hota hai sab ke labon par: Ali Haider (a.s), Haider (a.s) Ali Haider (a.s), Haider (a.s), Ali Haider (a.s), Haider (a.s), Ali Haider (a.s), Haider (a.s)