لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye saare nazare ishq ke hai

Irfan Haider2025
ShiaNohaLyrics
Hussain... Hussain... Hussain Woh jisko saare Hussaini salaam kehte hain Usay Hussain alayhis salaam kehte hain Hussain Hussain Maula Hussain, Ya Hussain Maula Hussain Hussain Maula Hussain, Ya Hussain Maula Maah-e-Aza ka chaand nikla, aa gayi ghar mein Fatima Zahra Libaas kaale pehen Ke saare Hussain walay farsh-e-aza pe aaye Aake parcham karein ge maatam, dilon mein har dam Zinda rahega yeh gham, dekhna ek din ban kar Hussaini bolega yeh zamana, Bolega yeh zamana, yeh saare nazaare Ishq ke hain - 2 Hum ho na ho hamesha hota rahega, Ya Hussain 1. 14 sadiyaan beet chuki hain, gham yeh koi bhi naa bhoola Dekho humare ghar mein saja hai Babul Hawaej ka jhoola Jhoolay se behne lipti hui hain, le kar haathon mein kurta 2. Dekho julooson mein jo Hussaini baandhe hue hain Sar pe kafan Aashiq-e-Mola hain yeh saare, Karbobala hai inka watan Dil mein udaasi, aankhon mein aansoo, hothoon pe Maula Maula Rahe Salaamat ishq-e-Hussaini Rahe Salaamat saare Hussaini - 2 Hussain Ya Hussain Maula, Hussain Ya Hussain Maula 3. Qasim ki mehndi, Akbar ka sehra, Taboot o Zuljana Wo sheh nasheen patke alam ke tasbeehe Fatima Chadar koi jo baantay to yaad aati hain bibiyan Aur choti choti shehzadiyaan mein bat'ti hain baaliyaan Saath alam ke mashke sakina dekhi to dil yeh bola 4. 8 moharram hum karte hain haazri meri Maula Ghaazi ki Bachon ko apnay sakka banakar sabko pilatay hain paani Ghaazi ka sadqa milta hai usko aata hai jo bhi pyaasa 5. paao Dabata hai koi khaadim, koi hataata hai pathar Karbobala ki samt Najaf se jaate hain jab zaer chal kar Ek sada hai sab ke labon par – Labbaika Ya Hussaina 6. Aashura ki shab saare Hussaini ghar ghar charaga karte hain Aur aza khanon mein jaa kar rote hain, noha padhtay hain Karte hain maatam, sun kar azane akbar subhe ashura 7. Aag pe jalna, khoon bahaana Baap se hum ne seekha hai Rokay ga hum ko kya yeh zamana Maatam hamara wirsa hai Jab tak badan mein khoon hai, baaki Maula ko Dain ge pursa 8. Zeeshan aur Irfan-e-Aza hum Khalq hue is gham ke liye Maan ne humari paala hai humko majlis aur maatam ke liye Ungli pakar kar majlis mein laa kar, maan ne bataya beta