لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khuda khair kare

Irfan Hussain (Bangalore)2013
ShiaNohaLyrics
Khuda khair kare..(2) Haaye sajjad chale shaam Khuda khair kare Gale mein tauq hai aur bediya'n hai payro mein diya hai shaam ke logo ne ye inaam Khuda khair kare 1. Wo jiske sar se rida bhi kabhi sarak jaye to maare sharm ke suraj wahi palat jaaye sharabiyo se hui hai wo hum kalaam Khuda khair kare 2. Tamaam shehro ke deewar o darr sajaye hai khadi hai aurte haatho mein sang uthaye hai kiya hai jashn e fatha ka ehtemaam Khuda khair kare 3. Banake qaidi aulad e ali ko laaye hai ye shor barpa hai aaye hai, baaghi aaye hai macha hai shaam ke logo mein kohraam Khuda khair kare 4. Bazaar e shaam mein zainab jo hai berida hai khadi bimaar sayyad e abid pe kya kathin hai ghadi khada bazaar mein har su hai majma e aam Khuda khair kare 5. Janab e ghaazi ka sir saandh pe tadapta tha bimaar qaidi ke aankho'n se khoo barasta tha laeen leta tha zainab ka jab bhi naam Khuda khair kare Gale mein tauq hai aur bediya'n hai payro mein diya hai shaam ke logo ne ye inaam Khuda khair kare Haaye sajjad chale shaam Khuda khair kare