لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas mera margaya zainab

Irfan Hussain (Bangalore)2018
ShiaNohaLyrics
abbas mera margaya zainab zainab shabbir dete thay sada zainab zainab barpa karo behna aza, bhai huwa hum se juda hum hogaye be-aasra, kohe musibat gir pada, zainab abbas mera margaya.... bazoo huwe uske qalam, kaisa huwa hai ye sitam tanha howe ghurbath may hum, matam karo zere alam, zainab abbas mera margaya.... aata alam ko dekh kar, poocha chacha ko tha magar dar par hai unki munthazer, usko na ho iski khabar, zainab abbas mera margaya.... maare gaye uske chacha, maloom usko gar huwa bali sakina bebaha, peetegi sar karke buka, zainab abbas mera margaya.... akbar se ay behna kaho, jaakar chachi ko pursa do poochay hame ghamkhar jo, kehde hai matam may wo, zainab abbas mera margaya.... tanha hame ab jaankar, kya kuch karangay ahle shar barbaad hoga ghar ka ghar, kat jayega ab mera sar, zainab abbas mera margaya.... karlo anees is dam buka, aajaye jaane kab khaza kya waqt aisa aagaya, rone pa ho zulmo jafa, zainab abbas mera margaya....