لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khuda Ke Ghar Mein Khuda Ke Wali Ka Matam Hai

Irfan Mirza And Moazzam Kalkatvi2018
ShiaNohaLyrics
Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai Jahan me aaj imam e Ali ka matam hai Yatim ho gaye Zehra ke dono lakhte jigar Suna rahe hai yeh noha Hussain ko Qumbar Ali wali ki sada hai Ali ka matam hai Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai Zamin roti hai yeh aasmaan rota hai Ghame Ali me yeh sara jahaan rota hai Khuda ke sher Nabi ke wasi ka matam hai Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai Dile Batool ko zalim ne taar taar kiya Khuda ke ghar me khuda ke wali pe waar kiya Yeh ek sadi ka nahi har sadi ka matam hai Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai Hamare ghar ka masiha nazar nahi aata Jo roti deta tha fizza nazar nahi aata Ke is jahan me khuda ke sakhi ka matam hai Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai Jo ek waar me dushman pachhad deta hai 2 ungliyo se woh khaiber ukhad deta hai Khuda ke sher khuda ke jali ka matam hai Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai Nabi ke bhai Irfan hue itne sitam Bayan kaise karega yeh Muazzam ka qalam Ali Ali ki sada hai Ali ka matam hai Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai