لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aansu

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Ho sooz dil main to us sooz ki dawa aanso Hayaat ki bhi yehi ban gaya baqa aanso Jo poocha apni bhi roodad kuch suna aanso To be-basi say faqat aankh sa gira aanso Hay kaynaat bani jab sa main bana aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Jinnah sa niklay to Adam zameen par ayay Khuda na toba kay Adam ko naam sikh layay Kaha Hussain to aankhoon main aagaya aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Galay main rassi Ali k woh waqt aya tha Jala k dar, dil e Zehra ko yun dukhaya tha K ab bhi ankh sa shahyad ho beh raha aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Na Ma ka ghum abhi bhooli thi Zainab e Dilgeer Nikalnay paray Taboot say jo bhai kay teer Kafan tha Laal ya Zainab ki aankh kaa anso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Behan K samnay Kat-ta tha haye bhai ka sir Batool khaak uraati theen haye Khool k Sir Laho main betay k Zehra ka mil gaya aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Jo ayee Sham e ghareeban to khaimay khali thay Sina ki nook pay sir thay, zameen pa lashay thay Jalay thay khaimay , lutee chadarain , baha aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Ussay na tooq nay Zanjeer nay jhukaya tha Safar nay sham kay Abid ko bus rulaya tha Imam E sabar tha Abid ki aankh ka aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso insan ki baqa aanso izhar e wafa aanso ho sooz bhi jis dil main us dil ki dawa aanso zahra ki dua banker ankhon main raha aanso bad e shab e aashora khamioon main baha aanso Sajjad ki aankhoon sa khoon ban k gira aanso Zainab khulay sir pa qudrat ka gira aanso mazloom ka dunia main hathyar bana aanso Zahra tere turbat pa aankho sa baha aanso Alam uthatay hain farshay aza bichatay hain Kaho Hussain to aankh main ashq aatay hain Wohi sabab mere bakshish ka ban gaya aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Aik ahlay bait ka waris janab baqi hai Abhi to zulm ka hona hisab baqi hai Her aik waqt ka, zehra ka jab baha anso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso Woh Rizvi aankh sa mehraj per gaya aanso Ghum e Hussain main Aey Joan jo baha Aanso Roomal Zehra main pata hai who jaga aanso Ghum e Hussain main us waqt sa baha aanso