لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Gir Raha Hai

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
maqtal main her taraf tha qayamat ka merhala ghazi k hath kat gayay mashkeeza chid gaya aankhoon main akey teer laga wa musibata rahwar per sambhal na saka gurz jab laga haider pukaray fatima tashreef layaiyaa girta hai ran main zeen sa Abbas ayia tha murtaza ka noha Abbas gir raha hai bin bazuon k Zahra abbas gir raha hai beta kaha hai tumnay aaghosh main chupao bikhray hua hain pathar aker rida bichao bibi tumhara beta Abbas gir raha hai parday ki jo zamanat sedanioon ko di thi zainab na woh zamanat wapas yeh keh k lali aey bibion humara Abbas gir raha hai kuch dair main chinahingay kanoon sa goshwaray kismat main aagayay hain bibi tere tamachay ghoray sa aey sakina Abbas gir raha hai shabbir soch ker yeh kertay thay ran main matam bazoo katay hua hain zeen sa giray ga jis dam pathar pa sir lagay ga Abbas gir raha hai sarwar pukaray zainab hafiz tera khuda ho saidanioon ki ab tum salar e qafla ho ab tum alam uthana Abbas gir raha hai aik hath hai jigar per aik hath hai kamar per ghazi k sath ran main girnay lagay hain sarwar aik ja hussain aik ja Abbas gir raha hai dil Aasiyain hai rota soch ker yeh manzar khaimay main gir rahe hai zainab k sir sa chadar jab sa koi pukara Abbas gir raha hai