لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Darbar Se Ayi Hai Zehra

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Betoon k saharay chalti hui Darbar hai aye hai Zahra(sa) Lagta hai abhi mar jayay gi Darbar hai aye hai Zahra(sa) Who jitni dair wahan thairee Baba(pbuh) ka member takti rahe Per yasrab ki shahzadi ko Masnad na musalmanoon na di She ker dil per yeh ghustakhi Darbar hai aye hai Zahra(sa) Dil rukta hai saans ukharti hai Deewarain thaam k chalti hai Chehray per Fatima Zehra(sa) kay Fizza sa berh kay Zaifee hai Laiker yeh safaide baloon ki Darbar hai aye hai Zahra(sa) Ghar atay hua Khud Zahra(sa) Ne Umme Aiman sa farmaya Sir choom k donoon betoon ka Salman(as) ko roh k samjhaya Zainab(sa) ko na batlayay koi Darbar hai aye hai Zahra(sa) Do gaam pa Baba(Pbuh) ki turbat Darbar main Baitee ki ghurbat Jhutlaye gaye thi Siddiqa Hans-ti thi dekh k yeh ummat Khud apna noha perhti hui Darbar hai aye hai Zahra(sa) Shabbar(as) ko choom k roti hai Shabbir(as) ki gardan chomti hai Ro ker Kulsoom(sa) o Zainab(sa) ki Ankhoon say haath lagati hai Shahyad dukh sham k takti hui Darbar hai aye hai Zahra(sa) Thehreer faqat tukray na hui Tazheek hui thi lafzoon ki Masjid main kya kuch guzri hai Yeh bat issay pochay na koi Ro ker kehtay thay sabsa Ali(as) Darbar hai aye hai Zahra(sa) Khaliq ki adalat hogi bapa Insaf ki khatir paish e Jali(J) Betoon ko apnay sath liya Mehshar main aise jayay gi Jis haal main Akbar Binte Nabi(sa) Darbar hai aye hai Zahra(sa)