لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hasnain Ke Baba Par

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Hasnain A.S kay baba par kia waqt ye aya hai Jaari hai lahoo sar se hayee (x2) Tar khoon musalla hai Dekha he nahe sabir dunya ne Ali(A.s) jaisa Phir isko rulata hai kyu zakhm ye zarbat ka Kia yad me Haider a.s ki HAYE (x2) Pheloo e shikasta hai Thi samne zoja kay gardun me bandhi rassi Ab samne beti kay zakhmi hai tera sar bhe Wo shehr e madina tha HAYE (x2) Afsos ye koofa hai Tareekh ne ek ye bhe manzar hai ajab dekha Qatil ko bhe wo jisne rehne na dia pyasa karbal me ussi ghar HAYE (x2) Sehroz ka pyasa hai Betoon say jo kheta tha tum sabr nahe khona wo baap jo kheta tha shabbir(A.s) nahe rona jab betiyaan aaen to HAYE (x2) Wo baap bhe roya hai Betoon ki tarf dekha or khene lage haider(A.s) Ye haal jo dekha to mar jaegi ro ro kar Zainab(S.a) ki nigahoon se HAYE (x2) Ye zakhm chupana hai Muljim kay pisar tune kaisa ye situm dhaya Tu kaisa musalmaa(n) hai itna bhe nahe socha Chera ye khuda ka hai HAYE (x2) Jo khoon me dooba hai Kofaay k yatimoon ki karta tha kifalat jo Ab chor kay jata hai khud apne he bacho ko Is baat ne zehra(S.a) ko (x2) Turbat mein rulaya hai Moula(A.s) ki shahadat hum zeeshan manaengy Aey Joan zamane ko ye baat bataengy jo farz humara tha HAYE (x2) Wo humne nibhaya hai