لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye Haye Ali Akbar

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Haye Haye Ali Akbar Kehti thi yeh ma khoon bhari mayyat sa lipat ker Haye Haye Ali Akbar Arman tha pehnao gi poshaak shahani afsos k raaz aye na tujhko yeh jawani kaisa tha muqaddar Itna to zura thero tumhain dolha banalon phir aik jhalak sehray ki sughra ko dikhalon bechain hai khawar ma tere judai main bhala kaise jeya gi mar jayay gi sughra jo khabar tere sunay gi ab kya keron jee kar athara (18) baras paal k parwan charaya woh gaisoonon wala hai mera khoon main nahaya ab kya keron jee kar kerti thi zayarat main payambar ki tujhi sa ab ghar main kissay dongi main tashbi nabi sa hum shakal e payambar tum hishkiyaan le le k jo dam todh rahay ho moun ma sa humaisha k lia morh rahay ho kyu rotay ho dilbar ayay jo humain lotnay khaimay main sitam gar ma dagi sada haye ali akbar ali akbar chin jayay gi chadar pehlay to aik awaz pa uth jatay thay baita ab itni sadaon pa bhi pehlo nahi badla kya hogaya dilbar jab koi jawan lash nazar ati hai mehshar aik yad soya karbobala jati hai mehshar dil rota hai keh ker