لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Naizay Pay Janaza Hai Tumhara Ali Asghar

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Naizay pa janaza hai tumhara Ali Asghar tum kitnay baray ho gayay beta Ali Asghar yeh dil main kashak reh gaye aey gaysioon walay ghazi ki tarhan say ghar main nahi aya tera lasha Ali Aghar Pyaray mere tum ho gayay tum ho Allah ko pyaray perlog sidharay Chay(6) Mah main hi chordi Dunia Ali Asghar ujri hai mere goud sujhaye nahi deta tum kya gayay beta chaya mere ankhon main andhaira Ali Aghar Ab zeest ki kab madar e muztar main ramaq hai yeh dil main qalaq hai tum zibha hua Ma rahe zinda Ali Asghar kis tarhan tere khoon bhri mayyat main dikhaon kya us ko bataon aya hai khat e fatima Sughra Ali Asghar Ghazi ka bhatija hai gawara nahi hota be parda hai kunba band ankhain hain tere sir e naiza Ali Asghar yeh keh k takkalum woh uthi lash sa dukhya acha mere beta lasha tera majlom ko sonpa Ali Asghar