لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sawal Karti Rahi Aur Mujhe Rida Na Mili

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Mazar Syeda pa binte Syeda betheen suna k sham ka ahwal bayan kerti theen bahrana sir mujha ummat na kerlia qaidi main shehr shehr main issi haal main phiraye safar main sir bhi chupanay ki koi jaa na mili sawal kerti rahe aur mujha rida na mili Jalaey Khaimay Ghareebon kay aur Rida bhi chini Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Jigar ky tukroon ko qurban kerdiya amma na maeri nasl ka  koi nishan bacha amma Mainay apnay Bhai ko amma Magar Bacha Na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Hamara Qafla Maqtal sy jub guzara gya Bhatijay bhai pisar bekafan  tha her lasha Main qaeed mae bhi wo manzar kabhi bhula na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Her aik zulm py youn hosla dikhaya hai Kay jaltay khaimoon sy abid ko bhi bachaya hai Magar yae dukh hay Sakina ko main bacha na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Layeen Qafla taizi say yun chalatay thay K bachay maoon ki goodi sa girtay jatay thay Nigah yaas sa takti rahi utha na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Hamara qafla bazar e sham aur pathar Chatoon sy kholta pani giratay thy hum par Jo qoom piyas mae pani humain pila na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Mujhy yae waqt dikhya meri ghareebi main Layeen ny manga sakina ko jab kanizi main Thi Guzri kiya dil e Zainab pa who bata na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Lehad sa maan ki lipat ke woh bain kerti thi Aey amma sham main kya kya na humpa guzri thi Nishan rasan kay jo bazo pa thay dikha na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili Na dekh paya tha ghazi khula tha sir mera Sina ki nook pa haye ruka na sir us ka Chupaya moun ko to balloon sa sir chupa na saki Sawal Kerti rahe aur Mujha rida na mili woh Joan parda zamanay na jis sa sekha tha yeh haq ussi ka musalman na rizvi ka cheena tha woh sani e zahra rida jo pa na saki