لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yeh Kon Zaifa Bachi Hai

Joan Rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Sakina qaid ho ker sham k zindan jab aye woh bachi us andhairay ghar ki tareeki sa ghabraye muqadar nay ajab afat bhi pehli rat dikhlaye zameen pa farsh saya fignad tha na nend na aye phupi k sath rehti thi na ma k pas soti thi burahna sir kharay zindan k darwazay pa roti thi zindan k dar pa bethi hai yeh kaun zaifa bachi hai azaad paranday takti hai yeh kaun zaifa bachi hai shabbir sa koi rishta hai sin char baras ka lagta hai zindaan bhi is pa rota hai kya zulm na is pa toota hai marnay ki duain kerti hai yeh kaun zaifa bachi hai kya jurm hai is masooma ka ronay pa laga hai kyu pehra bachon sa bhi badlay latay hain aisa bhi kaheen hota hai bhala kyu is k galay main rassi hai yeh kaun zaifa bachi hai kya is pa nqaat taari hai pehlu bhi badalna mushkil hai hai kushk gala itna iska awaz nikalna mushkil hai lagta hai bauhat hi pyasi hai yeh kaun zaifa bachi hai cheenay bhi gayay ghohar is k kanoon sa laho hota hai rawaan pathar bhi safar main khaye hain chehray sa yehi hota hai ayaan yeh sir sa pa tak zakhmi hai yeh kaun zaifa bachi hai jab aanso nikaltay hain is k zalim sa tamachay khati hai ab sehmi hui hai yeh itni jab yaad padar ki ati hai darban sa chup ker roti hai yeh kaun zaifa bachi hai baghi ki beti k tanay her mor pa sunti aye hai hai 4 baras omar magar baloon main safadi aye hai kya is pa na janay guzri hai yeh kaun zaifa bachi hai aey mir takallum sadioon sa yeh ashk bahahay jati hai baba mere pyaray baba ki awaz lehad sa ati hai zindan sham main soti hai yeh kaun zaifa bachi hai