لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Rahega Qayam Zikr Husaina

Kamiyab Ali Balsania2023
ShiaNohaLyrics
Khuda Quraan Me Farmata He Fazkuruni Azkurkum Yani Tum Mera Zikr Karo Main Tumhara Zikr Karunga To Husain Ibn E Ali Ne Khuda Ke Zikr Ko Is Tarha Se Kiya Sina Ki Nok Pe Aaya, Kalam Jisne Sunaya Khuda Se Wada Nibhaya To Khud Khuda Ne Kaha Rahega Qayam Zikr Husaina Rub Ka Ye Tujse Wada Hai Khud Hi Khuda Khilqat Say Apni.......(2). Zikr Husain Karata Hai Rahega Qayam Zikre Husaina...... Ye Umr E Tifla Peer O Javañ Ye , Halka E Matam Ki Tehzeeb Ye Shabedari Ye Ghumguzaari , U Ghum Mana Ne Ki Tarkeeb , Farsh E Aza Or Ye Majlise...........(2) Yunhi Khuda Bichwata Hai Tujse Hi Zinda Hai Ye Azane , Tujse Namazein Hai Baaki. Tujse Hai Zinda Din E Muhammad , Zikr E Khuda Tujse Jaari. Zikr Tera Ye Zinda Rahega ...........(2) Eilan Rub Farmata Hai. Pouche Jo Koi Ahl E Aza Se , Hai Kis Ke Hukm Ki Ye Takmeel. Kyu Kar Lage Hai Har Ghar Me Parcham , Kyu Kar Lagi Pani Ki Sabeel. Zikr E Shah E Waala Ke Sadqe.........(2) Langar Vo Lagwata Hai Zikr E Husaina Karne Ki Khatir , Ik Qaum Rub Ne Banayi Hai Khas. Na Bhuk Inko Na Pyaas Koi , Nohe Ki Or Matam Ki Hai Aas. Zikr E Husain Me Kaate Zabaan To...........(2) Khoon Se Ubhar Kar Aata Hai Tuj Par Ye Panchi Rote Rahege , Royegi Ye Kaliya O Shajar , Arsh O Zameen Bhi Matam Karegi , Noha Karege Jin O Bashar , Zikre Husain Ke Dard Ko Sunkar.........(2) Charkh Lahu Barsata Hai Adam Ho Chahe Moosa Ho Eesa , Sub Ke Hai Labpar Zikr E Husain. Vo Shams Ho Ya Shehbaaz Koi , Zikr Tera Hoga Din Rain. Ho Shah Tum Apne Waliyo Ke........(2) Roze Pe Likhwata Hai Saare Jahaan Me "NOOR" Hai Failaa , Arsh E Ulaa Ho Ya Ho Zameeñ. Or "KAAMYABI" Mil Ke Rahegi , Zikr E Husain Jo Hoga Kaheeñ. Har Anjuman Ke Nohe Ke Sang Sang........(2) Rabb E Jahaañ Dohrata Hai Suno Azadaro Mehboob Likhta Hai , Karbala Me Kis Tarah Se Mola Hussain Ne Khuda Ka Zikr Kiya Ik Vo Ghadi Bhi Aa Gayi Karbal Ke Run Me Aaj , Uth Ti Hai Aandhi Mot Ki Sheh Ke Chaman Me Aaj. Bete Se Baap Bhai Se Bhai Juda Kiya , Phir Bhi Mere Husain Ne Shukr E Khuda Kiya. Ya Khuda Shukr Tera Ya Khuda Shukr Tera Ladte Hai Shah Dasht Me Jarrar Ki Tarha Karte The Vaar Haider E Karar Ki Tarha Kitne To Sar Badan Se Yuñhi Be Khabar Huve Aaye The Jitne Zad Me Wo Zer O Zabar Huve Bijli Ajal Ki Jaise Ke Zaalim Pe Padti Thi Zikr E Khuda Husain Ki Talwaar Karti Thi Ladte Hai Par Zahen Me To Her Aan Hai Khuda Roka Ye Kheh Ke War Meherban Hai Khuda Aawaz E Ghaib Aayi Ke Ab Lot Aa Husain Razi Hai Tujse Tera Ye Rab Lot Aa Husain Sajde Me Shah Juk Gaye Hamle Ko Rok Kar Maalik Karunga Zikr Me Naize Ki Nok Par Hone Na Payega Kabhi Mujse Juda Husain Wada Ye Aaj Karta Hai Tujse Khuda Husain