لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jab tak jiyenge ehle aza ghum manaenge

Khurshid asri2009
ShiaNohaLyrics
Ya Fatemah) ..(2) (Fatemah Zahra) ..(4) Jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge bibi tere husain pe ansoo bahayenge Jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge Bibi tere husain pe ansoo bahayenge 1. Kis tarha toot jayenge ashko'n ke silsile Jo gham tujhe mile wo kisi ko nahi mile Tu gham naseeb hai yeh sabhi ko batayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 2. Woh teen deen ki tishna labi yaad he hamein Sukhe gale pe kund churi yaad hai hamein Pyaso'n ko uski yaad me paani pilayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 3. Sab kuch nisar karke isi gham ke waaste Aulaad bech denge moharram ke waaste Mazloom e karbala ki safe gham bichaayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 4. Surat nahi hai aur koi dil ke chain ki Rakhte hain apne saath nishaani husain ki Hum qabr me bhi khake shifa leke jayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 5. Jitna khayal tune rakha apne laal ka Koi bhi itna pyar se paala na jayega Uski musibato'n ko na hum bhool payenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 6. Seene me jis husain ke daghe hasan bhi hai Yeh who shaheed hai jo gareebul watan bhi hai Hum karbala pohonch ke palat kar na aayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 7. Har saans lamha lamha bahenge sharike gham Farshe aza pe beth ke girya karenge hum Teri sada me apni sadayein milayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 8. Abid ki chashme zaarse behta huwa lahoo Who bekasi-e-zainab-o-kulsoom char soo Bazaar me khule huwe sar yaad ayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge 9. Hoto'n pe murtaza ke ye haajat hai fatema Dil me kaleem ke bhi ye hasrat hai fatema Ayenge karbala me ye nauha sunayenge (jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2) Bibi tere husain pe ansoo bahayenge jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge