لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kehti thi madar aye ali akbar

Khurshid asri2017
ShiaNohaLyrics
Hoti hay subha azaan do (x2) Kehti thi madaar ay Ali Akber, hoti hay subha azaan do(x2), 1. Janti hu mein mujko khabar hai tere labho par meri nazar hay kuch hi palon ka aur safar hay maa bhi teri majboor magar hay laal mere humshakal-e-payambar hoti hay subha azaan do, Kehti thi maadar ay Ali Akber, hoti hay subha azaan do(x2) 2. Sar ko jukaye khaime ke dar par baba khare hay aap ke akber aur udhar khaime ke andar bethi hay ghamghi zainab-e-muztar karlo tayamum ay mere dilbar hoti hay subha azaan do, Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2) 3. Ek taraf Abbase dilaawar karte hay saikal tegh ke upar ghash me pare hay abide muztar jhoole mein choop hay nanha sa asghar toot na jaye zapt ka saagar hoti hay subha azaan do Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2) 4. Dekh idhaar masoom sakina aankh mein aansoon, haath mein kuzaa iske labhon par pyaas ka dariya aayi hay kehne tumse yeh beta jaane tammanaa jaane khaahar hoti hay subha azaan do, Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2) 5. Haal boora hay pyaas ke maare phirbhi hasi hay labh pe tumhare Aajare aaja raj dulaare budhi maa ki ankh ketaare waqt bohot hay kam mere Akber hoti hay subha azaan do, Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2) 6. Shaam se pehle khushk gale par teghe chalega shimr ka khanjar aur tumhari dukhiya maadar bayn kareghi laash ke upar phir na kahoonghi mein tumhe akber hoti hay subha azaan do, Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2) 7. Kaise likhe Gulshan woh manzar murtaza aaya azaan jo dene niklazabaan se allah ho akber kholdiye saidaniyo ne sar farsh pe kehkar girgayi maadar hoti hay subha azaan do, Kehti thi maadar ay mere Akber, hoti hay subha azaan do (x2)