لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aagayi binte ali

Lahore Party1999
ShiaNohaLyrics
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein jis ne sooraj nah kabhi dekha tha..(2) ro rahee hai woh gunahgaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein Kaun jaanay ke yeh hai kaun, rasan pehne hue Berida roti hai sajjad ke peeche chup ke Siskiya'n doobi hai jis Bibi ki Haye zanjeero ki jhankaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein Haye Zahra teri kismat na mila Haqq tujhko Aisi tazeem teri ki hai musalmano ne Tera Haqq maangne aayi Zainab Ek maynosh ke darbaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein jis ne sooraj nah kabhi dekha tha..(2) ro rahee hai woh gunahgaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein Kaha Zainab aur kaha shaam me logo'n ka hajoom Sar barehna oonchi awaaz mein khutbe padhna Qatlay mursal ka hawala dekar Chadare Mangna badhkaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein Aag Khaimo'n ko Lagi aur the Sajjad be hosh Roro Abbas ko deti thi sadayein Zainab lootlo chadare Saydaniyo ki Shor barpa tha sitamgaro mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein jis ne sooraj nah kabhi dekha tha..(2) ro rahee hai woh gunahgaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein Jis tarha bali Sakina aaj Baba ke beghair Sogayi chayn se tanhhai mein rote rote Hichkiya'n dab gayi Masooma ki Haye zindano ki deewaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein Jis jagah Majlis-e-Shabbir ho barpa Akhtar Chhod Kar dukhiya waha'n roti hai Zahra aakar Baal Khole hue sar peet-ti hai Apne pyaaro'n ke Azadaaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein jis ne sooraj nah kabhi dekha tha..(2) ro rahee hai woh gunahgaro'n mein Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein