لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas chale aao

Meesum Abbas2004
ShiaNohaLyrics
Abbas chale aao, abbas chale aao..(4) suno saqqa e haram, tumhe baccho ki qasam toot jaye na bharam, aao lehrake alam Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) 1. Tum se to sakina ko badi aas hai ghaazi..(2) tum aao to manzoor hame pyaas hai ghaazi..(2) tum to dil e shabbir ka ehsaas hai ghaazi zara sunlo ye sada, aake tum behre khuda mera dum ghutne laga, ab to ghar laut ke aa Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) 2. Tum baazu e shabbir ho lashkar ke alamdar..(2) tum saniye haider ho dil e jafar e tayyar..(2) tum sote ho haibat me pada aabid e beemar aag khaimo me lagi, sar se chadar bhi chini hai bohot tashna labi, ae jari ibn e jari Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) 3. Lo shimr ne maara wo sakina ko tamacha..(2) kano se lahu behta hai jalne laga kurta..(2) masuma ko deta nahi koi bhi dilasa kya gawara hai tumhe, ae alamdar e wafa haath zainab ke bandhe, aur sakina ka gala Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) 4. Pardes me ujde na koi aise gharana..(2) jis tarha se ujda mera ghar ae mere bhayya..(2) roti hui marqad se chali aai hai zehra labe darya pe sada, ashk aankho se rawa dilse uth ta hai dhua, dhundhe hum tum ko kaha Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) 5. Parcham jo tera khu me bhara aaya hai bhayya..(2) kisne ye mere dil pe sitam dhaya hai bhayya..(2) pardes me taqdeer ne rulwaya hai bhayya kabse majboor hu mai, neher se door hu mai izn milta jo mujhe, lene khud aati tumhe Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) 6. Lo shimr ne maara wo sakina ko tamacha..(2) kaano se lahu behta hai jalne laga kurta..(2) masooma ko deta nahi koi bhi dilasa kya gawara hai tumhe, ae alamdare wafa haath zainab ke bandhe, aur sakina ka gala Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) 7. Meesum sare majlis ye teri girya o zaari..(2) rehaan ke lafzo pe bhi rik'at hui taari..(2) dete hai dua ehle aza maa ko tumhari banke ek ajre karam, tumpe ghaazi ka alam har ghadi saya kare, dil yahi kehta rahe Abbas chale aao, abbas chale aao..(2) suno saqqa e haram, tumhe baccho ki qasam toot jaye na bharam, aao lehrake alam Abbas chale aao, abbas chale aao..(2)