لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tumhara Sukriya Bubi (Sa)

Meesum Abbas2007
ShiaNohaLyrics
Sakina gir gayi naqe sey rasty mein kahi Talash karti thi us ko yahan wahan Zainab Mili Sakina jo godi mein eik bibi ki Tarap key bibi sey karney lagi bayan Zainab Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Taras khana musibat mein hamari badnasibi par Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye wo bachi hai jis ney bundh bhar pani nahi paya Kayi din sey tamachoun key siva kuch bhi nahi khaya Tum itney piyar sey bethi ho is ko god mein ley kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Kali murjhaney vali thi usey is piyar ki di hai Samjhti houn keh is bachi ko tum ney zindagi di hai Na hoti tum to marjati ye shayad naqey sey gir kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Hamari khayriyat bhi poochney aata nahi koi Yatimi per bhi is ki kuch taras khata nahi koi Lagaya tum ney seeney sey isey naqey sey girney par Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Safer mein darbadar ki thokarey hi khate aaye hai Tumhe ham kya batayein kis qader sadmey uthaye hai Mila hai aaj pehli martaba shafqat ka ye manzar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Abhi tak jo mila us ney issey dura lagaya hai Tumhari shakl mein pehla koi hamdard aaya hai Ye hamdardi ka rishta to har ik rishte sey hai bhar kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Tamache shimr ney marey to rooney bhi nahi payi Bichar kar appney baba sey ye soney bhi nahi payi Sakoon is ko mila hoga tumhari goud mei aakar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Abhi jaldi utha hai is key sir sey bap ka saya Ye tum ney ham gharibon par bara ahsan farmaya Ham is ahsan ka badla chukayeingey bhala kyu(n) kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Musibat mein hai khul kar sans bhi ham ley nahi sakte Duaoun key ilaawa ham tumhain kuch dey nahi sakte Dua khali na jaye gi keh ham hai aal-e-Payghambar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Najaney kyu(n) ye lagta hai keh tum ko janti hu(n) mein Mujhe mehsoos hota hai tumhe pehchanti hu(n) mien Merey dil ko bari dharas huwi tum sey yahan mil kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Huwa kuch aur bhi gham nak manzar "mesum-o-fakhri" Naqab-e-rukh ulat kar boli madar "mesum o fakari" Na tarpawo ay zainub tum apni maa ko ye keh kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Taras khana musibat mein hamari badnasibi par Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Ye burka poosh bibi sey kaha Zainab ney roo roo kar Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi Tumhara shukriya bibi tumhara shukriya bibi