لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas meer-e-Lashkaram

Meesum Abbas2008
ShiaNohaLyrics
Abbas meer-e-Lashkaram x3 Abbas, Abbas Shakle Ali sheyr-e-Khuda x4 Shabbir sa jaaho hasham Abbas meer-e-Lashkaram x4 1. Shakle Ali sheyr-e-Khuda x2 Shabbir sa jaao hasham Abbas meer-e-Lashkaram x4 2. Ayaa Ali ka ladla x2 Kehte the dushman bhar mala x2 Sab dedo isko rastaa x2 Warna karega sar kalam Abbas meer-e-Lashkaram x4 3. Ek nawjawan ek shehsawaar x2 Haathon mein nezaa tez dhaar x2 Dushman giraaye beshumaar x2 Bhartaa gayaa yun dum-ba-dum Abbas meer-e-Lashkaram x4 4. Daryaa pe jaanaa hai usse x2 Paani pilaana hai usse x2 Waadaa nibhaana hai usse x2 Khaayi sakina ki kasam Abbas meer-e-Lashkaram x4 5. Raah-e-wafaa mein khun diyaa x2 Ek bhoondh na paani piyaa x2 Daryaa pe jab gaaraa alam x2 Sab keh utthe arbo ajam Abbas meer-e-Lashkaram x4 6. maidaan me jab ghazi gayaa x2 Haidar ki tarhaa dutt gayaa x2 Parcham ko jukne na diyaa x2 Aur hogaye baazu kalam Abbas meer-e-Lashkaram x8 7. Mashke sakina chidd gayi x2 Pyaasi sakina rehgayi x2 Na aas ammu ki rahi x2 Jab aagaya khali alam Abbas meer-e-Lashkaram x4 8. Ghore se jab ghazi giraa x2 Shabbir ka ik bawafaa x2 Duniyaa se rukhsat hogayaa x2 Ujraa hai zainab ke bharam Abbas meer-e-Lashkaram x4 9. Abbas ne sheh se kahaa x2 Aqa meri hai iltijaa x2 Laashaa na jaaye khaimon mein x2 Kar dijiye itna karam Abbas meer-e-Lashkaram x4 10. bacchon ka tutaa aasraa x2 Aayaa alam jo khun bharaa x2 Ghash mein Sakina ghir pari x2 Ye hogaya kaisa alam Abbas meer-e-Lashkaram x4 11. Irfan ki hai iltijaa x2 Mesum ki puri ho duaa x2 Nawhagar tera mein rahun x2 Jab tak rahe sine mein dam x2 Abbas meer-e-Lashkaram x4