لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas sa beta dede

Meesum Abbas2008
ShiaNohaLyrics
aise farzand ke khatir hai tamanna-e-ali Jo bahadur ho, mujahid ho, wafadaar bhi ho Ya rab mere ya rab ya rab mere ya rab Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 1. Ek jari chahiye tarikh-e-shuja-at ke liye Karbala me mere shabbir ki nusrat ke liye Aur namoos-e-payambar ki hifaazat ke liye Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe Baad iske meri bas ek dua ke badle Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye Iltaja behre madad apni zabaan par laye Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 5.  Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 6. Sabko sairab karo aisi sakhawat dekar Umar bhar ke liye bhai ki ita-at-dekar Uske haathon me mera zor-e-shuja-at dekar Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 7. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho Koi umeed na toote koi be aas na ho Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho 8. Aye kaleem ho gaye maqbool dua-e-haider Murtaza usko kaha fatema zehra ne pisar Aarzoo ki thi ali ne jo huzoor-e-dawar Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar me alam hai to alamdaar bhi ho