لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye momino sunata hu

Meesum Abbas2009
ShiaNohaLyrics
Suno suno ...x6 Ay momino Ay momino sunata hu purdard waqea Dulha bana jo Hazrate Shabbar ka ladla...x2 Ashur ki woh shab woh qayamat ki thi ghadi Ibne Hasan ke hath me mehndi rahi hui Sehra the sar pe Nadeali ka tha jahua Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino... Itna haseen lagta tha woh noor e pairahan Sehre me aftabe imamat ki woh kiran Aankhe sitara jaisi thi chehra tha chand sa Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Behno ne sar pe dal ke aanchal balayein li Sab bhaiyon ne pyaar se badhkar duayein di Saya alam ka karte the Abbas e bawafa Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Ashkon ke phul goondke maa ne kaha pisar Aye lal mera sharm se jhukne na paye sar Rangeen tere khoon se ho jase Karbala Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Bola Hasan ka lal meri bhi hain aarzu Bakhte jidal pehle hamara bahe lahu Izne jihaad dete nahi hain mujhe chacha Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Amma hame chacha se paye shere kibriya Izne jihaad aapki dilwaiye chacha Yaad ayega laeenon ko khaibar ka maarka Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino. ... Maa ne kaha ki mai to bohot arz kar chuki Ibne Batool sunte nahi ilteja meri Tum khud hi jaake unse kaho apna mudda'a Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino .... Qasim ne maa ke hukm pe sheh se basad buka Hathon ko apne jodke rote huwe kaha Izne bigaa yateem ko de Shahe Karbala Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino ... Bole Hussain tum to nishani Hasan ki ho Aye laal mujh gareeb ka tum imtehaan na lo Tum mar gaye to kaise jeeyega yeh gumzada Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Taweez ek baazu se Qasim ne kholkar Maula Hussain ko diya qadmon pe rakh ke sar Taweez me payame Hasan tha likha hua Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Amma ki jaan bhai ke kalbo jigar Hussain Karbobala me fidya hain mera yeh noor e ain Qasim ko dena izne wiga hukm hain mera Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Tehreer padhke ro diye mazlume Karbala Sar ko jhukake izne wiga deke ye kaha Pardes me hamara muqaddar bigad gaya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino..... Izne jihaad milte hi Qasim hue nihaa Pharte khushi se ho gaya chehre ka rang lal Dulha kamar ko kasske paye jung chal diya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino .... Sehra tha sar pe hath me kangna bandha hua Dulha jo qatlgah ki janib chal gaya Khaymon me shahe wala ki kohram mach gaya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Hamla kiya Hasan ke pisar ne kuch is tarha Apne hadap se sher jhapatta hain jis tarha Talware apni fek ke chupte the ashkiyan Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino..... Arzak ke char bete tahe tegh kar diye Hadde nigah raste lashon se bhar diye Qasim ko daad deta tha maidane Karbala Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino... Woh kamsini woh bhook woh garmi thi allama Woh pyaas thi ki khushk thi masum ki zaban Kamsin Hasan ka pyas se behal ho gaya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Hauje udoon maa ka ganimat ka jankar Ghera Hasan ke laal ko talware tankar Hamle pe hamla charon taraf se kiya gaya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino..... Aakhir ko dashte garm pe woh gulbadan gira Awaz di Hussain ko jald aiye chacha Aaka gulam aapka ghode se gir gaya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Daude Hussain Akbar o Abbas bhi chale Bhaage sipahi shaam to ghode pe dab gaye Laasha Hasan ke lal ka pamal ho gaya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino..... Sar tha kahi toh hath kahi aur badan kahi Tukdon me bat gaya tha woh Farwa ka nazneen Dulha ka qatlgah me lasha bikhar gaya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.... Daaman me apne lash ke tukde Shahe huda Chunte the aur kehte the aye mere mehlaka Dulhan se teri jake kahega Hussain kya Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino..... Mesum tadap ke reh gaya Rehan ka kalam Nauha Hasan ke lal ka jis dam kiya rakam Har ashk dulha dulha ki deta raha sada Aye momino sunata hu purdard waqea Aye momino.....