لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Nana aye mere nana, main aagayi madina

Meesum Abbas2009
ShiaNohaLyrics
Ro ro ke pukari nana ki dulari (x2) Nana aye mere nana, main aagayi madina (x3) Sughra se kya kahoongi, mushkil hai mera jeena Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 2) Apni rida lutake (x2), khutbe suna sunake (x2) Apni rida lutake, khutbe suna sunake Deewar zulm dhaake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 3) Balwe may thi khule sar (x2), be pardagi ke patthar (x2) Balwe may thi khule sar, be pardagi ke patthar Kha kha ke ashkiya se, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 4) Zindaan tha andhera (x2), chaaron taraf tha pehra (x2) Zindaan tha andhera , chaaron taraf tha pehra Aankhon se khoo bahake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 5) Aayi nahin Sakina(x2), phatt tha hai mera seena (x2) Aayi nahin Sakina, phatt tha hai mera seena Usko wahin sulake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 6) Noke sina pe sar the(x2), hum log nauhagar the (x2) Noke sina pe sar the, hum log nauhagar the Farshe azaa bichake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 7) Sajjad natawan tha(x2), aankhon se khoo raha tha (x2) Sajjad natawan tha, aankhon se khoo raha tha Bimaar ko bachake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 8)  Bazu pe khastatan ke (x2), ye daag hai rasan ke (x2) Bazu pe khastatan ke, ye daag hai rasan ke Nana sitam utake, mai aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 9) Tukde chune badan ke(x2), Kassim bine Hassan ke(x2) Tukde chune badan ke, Kassim bine Hassan ke Dulha usse banake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 10) Matti ko karbala ki(x2), ye aapki nawasi(x2) Matti ko karbala ki, ye aapki nawasi Khak-e-shifa banake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 11) Atthara bhaiyon ki (x2), haye haye behen thi qaidi (x2) Atthara bhaiyon ki, haye haye behen thi qaidi Qaid e sitam nibhake, main aagayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) 11) Meesum baroze mehshar (x2), Rehan binte haider (x2) Meesum baroze mehshar, Rehan binte haider Zainab kahegi aake, main aa gayi madina Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2) main aagayi madina (x3)