لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbal ke jaane wale

Meesum Abbas2011
ShiaNohaLyrics
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna mazlume karbala se mera salam kehna kehna ke mere dil me bus itni arzu hai maula tumhare dar par aane ki justuju hai tum ho imame aali aur mai hu ek sawali aka tumhare dar se koi fira na khaali kabse pukarta hu dedo mujhe sahara har simt behre ghum hai milta nahi kinara is dehre bewafa me beyaaro benisha hu bezaar zindagi hu begaanae jahaan hu armaan kuch nahi hai bus ek dua hai lab par sab hasrate bhula kar aankho me ashq bhar kar faryaad kar raha hai ek ranjo gam ka maara ehle aza hu mai bhi ghumkhwaar hu tumhaara apna hai kaun kisko mai haale ghum sunaau hu mustarif kaha se taskeene kalb laau bechain ho raha hu mujhko karaar dedo ashko ke waste se ghum ki bahar dedo gham aakhri ho mera maidaane karbala me so jaau rote rote gehra rahe kaza me roze ki jaliyo se karna dua lipatkar rakh dena thokaro me unki mera muqaddar jis waqt multaji ho tu shahe do jahan se us waqt meri haajat likh le teri zabaan se sabke naseeb me ho haasil teri dua ka karbobala hai markaz har sahibe aza ka shehre musafirane rahe khuda wahi hai yasrab se jo gaya tha woh kafila wahi hai jaan deke kar gae wo nusrat shahe huda ki kabre hai us zamin me ansare bawafa ki karna hai pesh tujhko har bekafan ka pursa paamaale zulme aada ibne hasan ka pursa sahil pe alkama ke bhai zarur jana abbas bawafa ka pursa wahi pe dena fir sue kabre akbar jana bade adab se milti thi jiski surat shakle shahe arab se zainab ke ladlo ka pursa zarur dena tar apne ansuo se asgar ki kabr karna maqtal se karbala ki khake shifa utha ke ek maa ko pursa dena furde nasheb jake usdam nazar me hoga aashur ka jo manzar behal ranjo gam se khudko wahi girakar khidmat me sayyada ki zaro kataar rona unka shareeke maatam meri taraf se hona har pal tere safar ka ab kamyab hoga jo kaam tu karega kaare sawaab hoga aakhir me dastbasta ek ilteja hai meri ai karbala ke zaaer jab wapsi ho teri us waqt yaad rakhna hargiz na bhul jana mera kafan waha se lekar zarur aana us din ke muntazir hai kabse kalimo meesum karbobala pahuchkar yeh bhi kare muharram seene pe daste matam ashko se ankh tar ho ehsase ghum ki had se har saas ka guzar ho nauha zabaan par ho mazlume karbala ka sad hai waa shahida sad hai waa hussainaa