لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mohammad ka gharana

Meesum Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Mohammad ka gharana..(4) Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) noke naiza pe bhi qur'aan..(2), sunane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) 1. Ye jafao'n ke sile mein bhi dua dete hai apne qatil ko bhi sharbat ye pila dete hai ek sajde se ye islam..(2), bachane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) 2. Ek mashkeeze mein darya ko utha lete hai ye to khud pyaas ko darya ki bujha dete hai pyaase darya se palat kar hai..(2), ye aane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) 3. Baat ho haqq ki to ye maut se ghabrate nahi ilm hai inko shahadat hai shehad se sheeree'n maut ko jeene ke aadab..(2), sikhane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) 4. Apne haatho'n pe uthate hai kabhi khaiber ko aur zara maqtal e akbar ki taraf to dekho budhe kaandho' pe jawaa'n laash..(2), uthane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) 5. Door tareekiye aalam ko kiya shahe zaman naam e ahmed ke diye karke dilo'n mein roshan apne khaime ke charagho ko..(2), bujhane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) 6. Laashe paamaal hui qaidi bane ghar bhi jala phir bhi paigham mohammad ka mitaye na mita tanha nau laakh ke lashkar ko..(2), harane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) 7. Humne yu meesum o salman baqa paayi hai chauda sadiyo'n se jo naslo'n mein azaa aayi hai nasl dar nasl azadaaar..(2), banane wale Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..(2) Mohammad ka gharana..(2)