لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai

Meesum Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai tadap ke laasha e akbar pa boley sibte nabi hamare noor e nazar ko lagi nazar kiski sitam ghareeb musafir pa ye mazeed kiya batao kisne mere sher ko shaheed kiya sina kaleje pe akbar ke maarne waale..(2) pata hai kis tarha beta jawaan hota hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 1. Bade hi naaz se paala hai ye jawaan pisar ye mere ghar ka ujala, ye mera noor e nazar ye mera hasliyo'n wala reyazato'n ka samar..(2) lahu mein dooba hua aidiya'n ragadta hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 2. Ye meri god mein qur'a ki tarha rehta tha ye noor banke meri aankh mein chamakta tha ye saaya banke mere saath saath chalta tha..(2) meri sada pe na koi jawaab deta hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 3. Ali ki betiya'n jhula ise jhulati thi hijab e noor mein lori ise sunati thi janab e umme banee iske naaz uthati thi..(2) aur ab hussain yaha'n iski laash uthata hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 4. Jo bachpane mein pakadke ye mera haath chala to haath uthake ise di thi zindagi ki dua khabar na thi ke mujhe ye bhi dekhna hoga..(2) ke aaj haatho'n pe akbar tera janaza hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 5. Batao tum mein koi ho jo sahib e aulad jawaan laal ho jismein hai wohi ghar aabad sitamgaro ne kiya haaye mera ghar barbaad..(2) hawaye zulm se ghar ka charagh bujhta hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 6. Hamare seene se nikla hai dil lahu rota aur apne khaime se nikli hai zainabe kubra najaf se nikle ali aur madine se nana..(2) jab iske seene se barchi ka phal nikaala hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 7. Salam e akhri mujhko kiya tha jab isne na pooch humse ke aaye yaha'n pa hum kaise kabhi uthe kabhi maqtal ki khaak par hai gire..(2) zaeef baap se ye ghum kaha'n se uthta hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2) 8. Hua hai nauha jo meesum teri zaba'n se adaa ye joshe girya o matam bata raha hai raza ke nauha sunne yaha'n aagaye mere maula..(2) har ek zabaan pe akbar tera hi nauha hai sina kaleje pe akbar ke maarne waale pata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)