لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Rona bhi hai baba ko

Meesum Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Haye sakina..(2) rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) zindaa'n mein sakina ko..(2) ye ghum bhi uthane hai rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) 1. Shabbir ke baccho'n mein, ek aisi yateema hai maloom nahi hota, murdaa hai ke zinda hai zalim ke tamacho'n se, haye zalim ke tamacho'n se, rukhsaar bachane hai rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) 2. Masoom si bacchi pe, ye zulm bhi dhaate hai roye to satate hai, chup hoto rulate hai kab jaane hansi thi wo, haye kab jaane hansi thi wo, ab beete zamane hai rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) 3. Ek shab ki musafat pe, taqdeer hi badli hai ke zadd pe tamacho'n ki, kamsin si wo bacchi hai qurbaan hue jispe, haye.. qurbaan hue jispe, abbas ke shane hai rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) 4. Darr apni jagah lekin, kuch yu'n bhi nahi roti ye soch ke chup hai ke, jis waqt riha hogi tab turbat e asghar pe, haye tab turbat e asghar pe, kuch aansu bahane hai rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) 5. Shabbir se sabir ki, beti ye sakina hai qaidi bhi hai be bus bhi, zakhmi bhi hazeena hai par sabr ke sab jauhar, haye par sabr ke sab jauhar, zalim ko dikhane hai rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) 6. Salman ya meesum ho, ya koi bhi zakir ho bus ek bhi lamhe ko, aisa ho agar socho ghutt ghutt ke sisakte ho, haye ghutt ghutt ke sisakte ho, aur nauhe sunane hai rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2) Haye sakina..(4)