لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sajana azakhana

Meesum Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Azakhana, azakhana.(2) 14 ho alam, ek mashkiza besheer ka ek nanha jhula do baaliya'n choti bibi ki ek shamma jalakar tum rakhna aur yaad mein ho ek dulha ki kuch mehendi kangana aur sehra ghar mein yu azaa khana jo saja paoge bohot zahra ki dua..(2) zahra ki dua paana sajana azakhana..(2) 1. Ae ehle aza e shahe huda is deher mein jab tak ho zinda tehzeeb e azadari hai yehi do kaam zaruri tum karna..(2) majlis mein chale aana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana..(2) 2. An amta alayhim ki ayat ya phir rehman ka ho surah shamil hai azakhana usmein nemat ka jaha'n bhi zikr hua..(2) nemat ko na thukrana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana..(2) 3. Be dast hua saqqa lekin usne na alam ko jhukne diya pehchan e aza khana hai alam paigham yehi abbas ka tha..(2) duniya se na ghabrana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana 4. Tazeem kabhi na kam karna ta hashr rahe hurmat baaqi ye sirf azakhana hi nahi armaan e dile zahra hai yehi..(2) bachho'n ko ye samjhana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana 5. Jis waqt chhida tha mashkiza jab aayi khabar ghazi na raha kuch kooze pyaase baccho ke haatho'n se gire aur toot gaye..(2) kuch kooze bhi rakhwana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana 6. Rahib ki tarha mil jaye pisar ya hurr ke tarha bakhshe jao fir shukr adaa karne ke liye tum bhi ye saleeqa apnao..(2) aise ho ye shukrana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana 7. Shabbir ye zainab se bole kuch kaam abhi bhi baaqi hai zalim jo shaheedo'n ke sar de wo pehle azakhane mein sajein..(2) jab shaam bahan jaana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana 8. Salman ke meesum ke jis din aamal liye jayein yakja jab tum se sawaal malak puche duniya mein kiya kya kaam bhala..(2) tum fakhr se likhwana, sajana azakhana zahra ki dua paana sajana azakhana