لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Salam bar moharram

Meesum Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Ya aba abdillah..(2) Hussain, hussain, hussain, hussain, hussain hussain,hussain, hussain..(2) Hussaina!!..(6) Shabe awwal e moharram meri ankho'n mein nami qurbaa'n tere sog pe mere maula har khushi meri sanso mein azaa meri dhadkan mein buka tera ghum ghume karbala keh rahi hai ye chashme namm salam bar moharram..(4) Tumhe to pata hai maula gunahgaar hu mai maula har ek waqt har ek lamha khatao'n mein hu mai duba magar jab moharram aaya teri simt mai laut aaya khatakaar hu mai beshak magar hu mai banda tera ye sab kuch teri hi ataa hai hamein ye mahina mila hai faqat ek aansoo pe hi makaa'n khuld mein paaya hai tera jo ghum mila na koi ghum raha ae shahe karbala dil ne di ye sada salam bar maahe hussaini salam bar moharram..(2) Hussaina..(6) salam bar moharram..(2) Juloos e aza e hussaini jaha'n mein bapa hai paiham alamdaar e karbobala ka qayadat hai karta parcham mukhalif tha saara aalam ruke na azaa aur matam hui  chauda(14) sadiya'n lekin hai jaari raha ye moharram azadar e sheh ka jazba ye saare jaha'n ne dekha ke kamsin se baccho ne bhi kafan ko saro'n pe bandha ashiq e karbala sehte rahe jafa jaanein huee fida rukna saki azaa salam bar azadaar!!! salam bar moharram..(2) Hussaina..(6) salam bar moharram..(2) Moharram ki aamad hai aur ye nazrein jidhar jaati hai sajein hai azakhane aur sabeele nazar aati hai libaase siyaah bacho'n ko ye maaein jo pehnati hai azaa ke saleeqe yehi zamane ko samjhati hai alam mashk aur kayaley ya ho hathkadi ho bedi ye sab ishq ki hai daleelein nahi rasm samjhein koi saramaya e azaa samjho to ba khuda ishq ki ibteda ishq ki inteha salam bar ishq e hussaini!!! salam bar moharram..(2) Hussaina..(6) salam bar moharram..(2) Karo yaad iksath(61) hijri moharram ka wo ashura mohammad ke kunbe par jo qayam hui thi barpa musalle pe teero ke tha shahe karbala ka laasha buka kar rahi thi ran mein arey baal khole zahra ye ghum karbala ka ghum hai bapa isliye matam hai nabi o ali zahra ki hui aankh ismein nam hai qatl e shahe umamm kaisa hua sitam ta hashr bhi ye ghum na ho sakega kam salam bar ghum e karbala!!! salam bar moharram..(2) Hussaina..(6) salam bar moharram..(2) Moharram ka aisa asar hai zehen mein wohi manzar hai hai behta hua ek darya to pyaasa koi lashkar hai ke bikhri hui laashe hai to chinti hui chadar hai jala fatima ka ghar hai jaha'n mein bapa mehshar hai kahi pe kate bazu hai lahu mein kahi gesu hai ye ujde hue pardesi har ek aankh mein aansu hai kaisi hui jafa zehra ka ghar luta usi ki yaad mein jaari hai silsila salam bar aale sayyada!!! salam bar moharram..(2) Hussaina..(6) salam bar moharram..(2) Jo makhdooma e aalam ne dua ko hai haath uthaya azaa o buka ki khatir khuda ne hamein hai banaya hai "salman" o "meesum" ham pe bine sayyada ka saaya hume naaz hai ke humne inhi ka to sadqa khaya bohot fakhr hum ko ispar ke hum hai ghulam e haider hai buss zindagi ka maqsad hamari aza e sarwar shaer o nauhakhwan jab tak rahegi jaa'n denge is tarha nauho ki ham azaaa'n salam bar dua e zahra!!! salam bar moharram..(2) Hussaina..(6) salam bar moharram..(2) Hussaina..(6)