لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tu dekh nahi pata jabir

Meesum Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Acha hai teri beenai nahi, tu dekh nahi paata jabir..(2) Thi binte ali bazaro'n mein..(2) be maqna o be parda jabir tu dekh nahi paata jabir 1. Jabir ye zameene karbobala zahra ka yaha'n gulshan bikhra jis jaa pe khade ho tum jabir ghode se yahee'n abbas gira pyaasi thi bateeji khaime mein..(2) be baazu hua saqqa jabir tu dekh nahi paata jabir 2. Atthara baras ka bhai mera seene mein lagi naize ki ani jabir ye sunoge kis tarha shabbir ki bhi beenayi gayi bus ek qadam hi chalte the..(2) girte the mere maula jabir tu dekh nahi paata jabir 3. Akbar, asghar, qasim na rahe the aun o mohammad ke laashe is par bhi ruki na zoro jafa sabke laashe pamaal hue shabbir pe chalta tha khanjar..(2) zainab thi sare khaima jabir tu dekh nahi paata jabir 3. Phir shaam e ghareeba aa pohchi khaimo ko jalaya aada ne phupiyo'n ki ridao'n ko meri naizo'n se utaara aada ne jalta tha sakina ka kurta..(2) asghar ka kahi'n jhula jabir tu dekh nahi paata jabir 4. Aaghaz e imamat tha mera tohfe mein mile zanjeer o rasan poshak yateemi ki pehne zakhmo se bhara tha mera badan gardan ka lahu pairo se baha..(2) ye waqt bhi tha aaya jabir tu dekh nahi paata jabir 5. Bazaar ka haal suno jabir pathhar the kabhi shole the kabhi ummat thi tamashayi saari aur aale mohammad the qaidi aur habshi ghulamo ki tarha..(2) bazaaro'n mein khencha jabir tu dekh nahi paata jabir 6. Bazaar hua jab khatm to phir darbaar qayamat aaya tha darbaar sharabi majme mein zainab ko pukara jaata tha paigham e hussaini ki khatir..(2) jaise wo rahi zinda jabir tu dekh nahi paata jabir 7. Hasrat thi rihai ki jisko zinda'n se reha wo ho na saki darti thi andhere se bacchi turbat bhi andhere mein hi bani zinda'n mein sakina ka haaye..(2) haatho'n pe tha jab laasha jabir tu dekh nahi paata jabir 8. Salman karega kaise bayaa'n meesum jo mere maula ne kaha beenai meri rukhsat na hui ankho'n se magar khoo'n itna baha aankho'n ke lahu se surkh hua..(2) tha shaam ka sab rasta jabir tu dekh nahi paata jabir Acha hai teri beenai nahi, tu dekh nahi paata jabir..(3)