لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala jaana

Meesum Abbas2018
ShiaNohaLyrics
Karbala jaana, karbala jaana..(2) Kyu itne pareshaa'n ho aye sheh ke azadaro'n kyu thamte nahi aa'nsu kyu chaak gareeba ho jo kaabe ka kaaba hai wo aap ka maula hai wo izn e safar dega koi nahi rokega udte chale jaoge, aisa sukoo'n paoge ghum apne bhulaoge..(2) Dilo ka dard bataana... sab apna haal sunana Karbala jaana, karbala jaana..(4) suno tum karbala jaana 1. Laraib yehi sach hai jo karbala jaate hai wo khud se nahi jaate shabbir bulate hai na ye ke bulate hai mehmaan banate hai mehmaan banate hai..(2) naseeb apna jagana...(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 2. Dil jab ke ziyarat ko har waqt tadapta hai ek aisa waseela hai radd ho nahi sakta hai ghazi ke waseele se, kya kuch nahi milta hai kya kuch nahi milta hai..(2) alam jari ka uthana..(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 3. Imam e jafar e sadiq ne hai ye farmaya hamare jadd ki ziyarat ko tark naa karna..(2) namak se rotiya khana..(3) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 4. Tum kaun ho rutbe ko..(2) khud apne zara samjho shabbir ke naukar ho dar dar pe nahi bhatko duniya se kabhi koi ummeed nahi rakho ummed nahi rakho..(2) mile na koi thikana..(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 5. Duniya pe nahi rona ye ashk bhi ne'mat ha ho farsh e azaa par to jannat ki zamanat hai aa'nsoo ye azadaro zehra ki amanat hai zehra ki amanat hai..(2) liye hue ye khazana..(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 6. Suno mai tumko batata hu karbala kya hai ye mariya hai, ye nainawa hai, ye karbala hai ye karbala hai, ye karbala hai, ye karbala hai Ye karbala hai jaha'n lut gaya rasool ka ghar phir ek baar jalaya gaya batool ka ghar jaha'n hussain the pyaase haan karbala wo hai har ek simt the laashe haan karbala wo hai gire zameen pe Akbar haan karbala wo hai tadap gaya jaha'n Asghar haan karbala wo hai Jaha'n pe hogaya tukde hai Qasim e mazloom sitam ki hadd abhi tumko kaha'n hui maloom Yaha'n pe teer chale Yaha'n pe baazu kate yah'n pe khaime jale yaha'n lutey parde Badan hue sabhi pamaal aaye naizo'n pe sar na apne bhai ko ro paayi ek behen muztar Palti hai bahan jis dum zinda se riha hokar Chehlum ki hui majlis shabbir ki turbat par haan sunnate zainab hai ye farsh e ghum e sarwar ye farsh e ghume sarwar..(2) azaa ka farsh bichana..(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 7. Duniya se mile har dum ghum uske gharane ko deta hai khushi lekin wo saare zamanae ko darr usse nahi behtar ghum apne bhulane ko ghum apne bhulane ko..(2) ghumo ko apne bhulana.(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 8. Khushiyo'n ka manana bhi fitrat ka taqaza hai sughra ne magar kaise khushiyo'n ko manaya hai sughra ko jo kunbe ka pursa tumhein dena hai pursa tumhe dena hai..(2) ek eid aise manana..(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana 9. Salman ko meesum ko ghum uska rulata hai ek aisi yateema hai jo shaam mein tanha hai tiskeen e dile sarwar, shehzadi ka nauha hai shehzadi ka nauha hai..(2) ghum e sakina sunana..(2) Karbala jaana, karbala jaana..(3) suno tum karbala jaana