لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khoon e haider

Meesum Abbas2018
ShiaNohaLyrics
Haye ali, haye haye ali..(2) Behta hai khoon e haider, koofe mein karbala mein Zehra ka ghar luta hai, haaye rahe khuda mein koofe mein karbala mein behta hai... 1. Ek fajr par hai sajda, ek sajda asr par hai ek simt par hai beta, ek simt pe padar hai kya fark hai batao, dono pe is jafa mein koofe mein karbala mein behta hai... 2. Koofe mein murtaza ki, beti pe hai yatimi shabbir ki yatima, karbobala mein ujdi hai zainab o sakina, ek dard ki fiza mein koofe mein karbala mein behta hai... 3. Kulsoom aur zainab, padhti rahi hai nauha baba ko zakhmi dekha, bhai ko zakhmi dekha manzar hai ek jaisa, is dehr e bewafa mein koofe mein karbala mein behta hai... 4. Maloom tha ali ko, sajda na hoga pura sarwar ko bhi pata hai, ab aakhri hai sajda sar ko jhukaya phir bhi, taazeem e kibriya mein koofe mein karbala mein behta hai... 5. Haye, qasim ke ho wo tukde, ya ho gulu e asghar akbar ka ho wo seena, ya baazu e dilawar imraa'n ka khoo'n baha hai, haye bughze murtaza mein koofe mein karbala mein behta hai... 6. Salmaan aur meesum, tareekh hai batati guzri hai zindagi bas, aulad e sayyeda ki matam mein murtaza ke, shabbir ki azaa mein koofe mein karbala mein behta hai... koofe mein karbala mein..(2)