لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maula koi ghum na de

Meesum Abbas2018
ShiaNohaLyrics
Ya Husain Maulaayiyo husainiyo Rabb ka hai ye Karam Tum ho dua e fatema Shabbir ki qasam Apney ghumo ko bhoolkey kartey ho sheh ka ghum Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain aaye ho tum jahaa mey baraaye ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 1) kartey ho tum azaa e shahinshaa e karbala Milti hai tumko fatema zehra se ye dua Tum par huwi hai ye bhi ataa e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 2) sab ko Husaini maao ney hairaan kardiya Sheh ki azaa pey Beto ko qurbaan lardiya Jin maao ney bachaayi sadaa e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 3) baithey na apney Ghar mey shahadat ke qauf se sarr pey kafan pehenkey julooso mey Jo chaley Jo apni jaan dekey bachaaye ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 4) qaayam rakhey qudaa Meri behno ka hausla Maatam ridaa e Zainab o kulsoom ka kiyaa Odhey rahii saro pey ridaa e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 5) paani pilaaye pyaaso ko Jo bhi sabeel se nazr o niyaaz haazri maula ki Jo karey Jo sab lutaakey apna nibhaaye ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 6) shaayar ho maatami ho koi sozkhwan ho Zaakir ho wo husain ka ya Nauhakhwan ho Farsh e aza pey Jo bhi sunaaye ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 7) Abbas e baawafa ke Alam ko sajaaye Jo Taaboot fatema ke pisar ka uthaaye Jo Ghar mey bichaaye farsh e aza e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain 8) kartey hai sheh ki MESUM o SALMAN naukari Hai wakf zikr e karbobala mey ye Zindagi Detey rahengey hum ye dua e ghum e Husain Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain